So have they not traveled through the earth and have hearts by which to reason and ears by which to hear? For indeed, it is not eyes that are blinded, but blinded are the hearts which are within the breasts.
Kiya enhon ney zamin mein sair-o-sayyaahat nahi ki jo inn kay dil inn baton kay samajhney walay hotay ya kano say hi inn ( waqeeyaat ) ko sunn letay baat yeh hai kay sirf aankhen hi andhi nahi hotin bulkay woh dil andhay ho jatay hain jo seeno mein hain.
क्या वे धरती में चले फिरे नहीं हैं कि उन के दिल होते जिनसे वे समझते या (कम से कम) कान होते जिनसे वे सुनते? बात यह है कि आँखें अंधी नहीं हो जातीं, बल्कि वे दिल अंधे हो जाते हैं जो सीनों में होते हैं
Have they not traveled through the land and observed how was the end of those before them? And they were greater than them in power. But Allah is not to be caused failure by anything in the heavens or on the earth. Indeed, He is ever Knowing and Competent.
Aur kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi jiss mein dekhtay bhaaltay kay jo log inn say pehlay ho guzray hain unn ka anjam kiya hua? Halankay woh qooat mein inn say barhay huyey thay aur Allah aisa nahi hai kay koi cheez uss ko hara day na aasmano mein aur na zamin mein woh baray ilm wala bari qudrat wala hai.
क्या वे धरती में चले-फिरे नहीं कि देखते कि उन लोगों का कैसा परिणाम हुआ है जो उन से पहले गुज़रे हैं? हालाँकि वे शक्ति में उन से कही बढ़-चढ़कर थे। अल्लाह ऐसा नहीं कि आकाशों में कोई चीज़ उसे मात कर सके और न धरती ही में। निस्संदेह वह सर्वज्ञ, सामर्थ्यमान है
Have they not traveled through the land and observed how was the end of those before them? They were more numerous than themselves and greater in strength and in impression on the land, but they were not availed by what they used to earn.
Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker apnay say pehlon ka anjam nahi dekha? Jo inn say tadaad mein ziyadah thay qooat mein sakht aur zamin mein boht sari yaadgaren chori thin unn kay kiyey kaamon ney unhen kuch bhi faeedah na phonchaya.
फिर क्या वे धरती में चले-फिरे नहीं कि देखते कि उन लोगों का कैसा परिणाम हुआ, जो उन से पहले गुज़र चुके हैं। वे उन से अधिक थे और शक्ति और अपनी छोड़ी हुई निशानियों की दृष्टि से भी बढ़-चढ़कर थे। किन्तु जो कुछ वे कमाते थे, वह उन के कुछ भी काम न आया