And the first forerunners [in the faith] among the Muhajireen and the Ansar and those who followed them with good conduct - Allah is pleased with them and they are pleased with Him, and He has prepared for them gardens beneath which rivers flow, wherein they will abide forever. That is the great attainment.
Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha rahen gay yeh bari kaamyabi hai.
और जो लोग पहल करने वाले और मुक़द्दम हैं मुहाजिरीन और अंसार में से और जिन्होंने ख़ूबी के साथ उनकी पैरवी की अल्लाह उनसे राज़ी हुआ और वे उससे राज़ी हुए और अल्लाह ने उनके लिए ऐसे बाग़ात तैयार कर रखे हैं जिनके नीचे नहरें बहती होंगी, वे उनमें हमेशा रहेंगे, यही बड़ी कामयाबी है।
For the poor emigrants who were expelled from their homes and their properties, seeking bounty from Allah and [His] approval and supporting Allah and His Messenger, [there is also a share]. Those are the truthful.
( fey kaa maal ) unn mohajir miskeenon kay liye hai jo apney gharon say aur apney maalon say nikal diye gaye hain woh Allah kay fazal aur uss ki raza mandi kay talabgaar hain aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki madad kertay hain yehi raast baaz log hain.
वह ग़रीब मुहाजिरों के लिए है, जो अपने घरों और अपने मालों से इस हालत में निकाल बाहर किए गए हैं कि वे अल्लाह का उदार अनुग्रह और उस की प्रसन्नता की तलाश में हैं और अल्लाह और उस के रसूल की सहायता कर रहे हैं, और वही वास्तव में सच्चे हैं