So, We said, "Strike the slain man with part of it." Thus does Allah bring the dead to life, and He shows you His signs that you might reason.
Hum ney kaha iss gaaye ka aik tukra maqtool kay jism ko laga do ( woh ji utahay ga ) issi tarah Allah Taalaa murdon ko zinda ker kay tumhen tumhari aqal mandi kay liye apni nishaniyan dikhata hai/
पस हमने हुक्म दिया कि मारो इस मुर्दे को उस गाय का एक टुकड़ा, इसी तरह अल्लाह ज़िंदा करेगा मुर्दों को और वह तुमको अपनी निशानियाँ दिखाता है; ताकि तुम समझो।
And never is it for a believer to kill a believer except by mistake. And whoever kills a believer by mistake - then the freeing of a believing slave and a compensation payment presented to the deceased's family [is required] unless they give [up their right as] charity. But if the deceased was from a people at war with you and he was a believer - then [only] the freeing of a believing slave; and if he was from a people with whom you have a treaty - then a compensation payment presented to his family and the freeing of a believing slave. And whoever does not find [one or cannot afford to buy one] - then [instead], a fast for two months consecutively, [seeking] acceptance of repentance from Allah . And Allah is ever Knowing and Wise.
Kissi momin ko doosray momin ka qatal ker dena zaiba nahi magar ghalati say hojaye ( to aur baat hai ) jo shaks kissi musalman ko bila qasad maar dalay uss per aik musalman ghulam ki gardan aazad kerna aur maqtool kay azizon ko khoon baha phonchana hai haan yeh aur baat hai kay woh log bator sadqa moaf ker denaur maqtool agar tumhari dushman qom ka ho aur ho woh musalman to sirf aik momin ghulam ki gardan aazad kerni lazmi hai. Aur agar maqtool uss qom say ho kay tum mein aur unn mein ehad-o-paymaan hai to khoon baha lazim hai jo uss kay kunbay walon ko phonchaya jaye aur aik musalman ghulam ka aazad kerna bhi ( zaroori hai ) pus jo na paye uss kay zimmay do maheeney kay lagataar raozay hain Allah Taalaa say bakshwaney kay liye aur Allah Taalaa bakhoobi janney wala aur hikmat wala hai.
और किसी मुसलमान का काम नहीं कि वह मुसलमान को क़त्ल करे मगर यह कि ग़लती से ऐसा हो जाए, और जो शख़्स किसी मुसलमान को ग़लती से क़त्ल कर दे तो वह एक मुसलमान ग़ुलाम को आज़ाद करे और मक़तूल के वारिसों को ख़ून बहा दे मगर यह कि वे माफ़ कर दें, फिर अगर (वह मक़तूल) ऐसी क़ौम से था जो तुम्हारी दुश्मन है और वह ख़ुद मुसलमान था तो वह एक मुसलमान ग़ुलाम को आज़ाद करे, और अगर वह ऐसी क़ौम में से था कि तुम्हारे और उसके दरमियान मुआहिदा है तो वह उसके वारिसों को ख़ून बहा दे और एक मुसलमान (ग़ुलाम) को आज़ाद करे, फिर जिस शख़्स को मयस्सर न हो तो वह लगातार दो महीने तक रोज़े रखे, यह तौबा (की शक्ल) है अल्लाह की तरफ़ से, और अल्लाह जानने वाला, हिकमत वाला है।