Indeed, We have revealed to you, [O Muhammad], as We revealed to Noah and the prophets after him. And we revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, the Descendants, Jesus, Job, Jonah, Aaron, and Solomon, and to David We gave the book [of Psalms].
Yaqeenan hum ney aap ki taraf issi tarah wahee ki hai jaisay kay nooh ( alh-e-salam ) aur inn kay baad walay nabiyon ki taraf ki aur hum ney wahee ki ibrahim aur isamail aur ishaq aur yaqoob aur unn ki aulad per aur essa aur ayub aur younus aur haroon aur suleman ki taraf. Aur hum ney dawood ( alh-e-salam ) ko zaboor ata farmaee.
हमने आप की तरफ़ वह्य भेजी है जिस तरह हमने नूह (अलै॰) और उनके बाद के नबियों की तरफ़ वह्य भेजी थी, और हमने वह्य भेजी थी इब्राहीम और इस्माईल और इसहाक़ और याक़ूब और औलादे-याक़ूब और ईसा और अय्यूब और यूनुस और हारून और सुलेमान (अलैहिमुस्सलाम) की तरफ़, और हमने दाऊद (अलै॰) को ज़बूर अता की।
And [We sent] messengers about whom We have related [their stories] to you before and messengers about whom We have not related to you. And Allah spoke to Moses with [direct] speech.
Aur aap say pehlay kay boht say rasoolon kay waqiyaat hum ney aap say biyan kiye hain aur boht say rasoolon kay nahi bhi kiye aur musa ( alh-e-salam ) say Allah Taalaa ney saaf tor per kalaam kiya.
और हमने ऐसे रसूल भेजे जिनका हाल हम आपको पहले सुना चुके हैं और ऐसे रसूल भी जिनका हाल हमने आपको नहीं सुनाया, और मूसा (अलै॰) से तो अल्लाह ने गुफ़्तगू की।
[We sent] messengers as bringers of good tidings and warners so that mankind will have no argument against Allah after the messengers. And ever is Allah Exalted in Might and Wise.
Hum ney enhen rasool banaya hai khushkhabriyan sunaney walay aur aagah kerney walay takay logon ki koi hujjat aur ilzam rasoolon kay bhejney kay baad Allah Taalaa per reh na jaye. Allah Taalaa bara ghalib aur bara hikmat wala hai.
(अल्लाह ने) रसूलों को ख़ुश-ख़बरी देने वाला और डराने वाला बनाकर भेजा; ताकि रसूलों के बाद लोगों के पास अल्लाह के मुक़ाबले में कोई हुज्जत बाक़ी न रहे, और अल्लाह ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।