The Messiah, son of Mary, was not but a messenger; [other] messengers have passed on before him. And his mother was a supporter of truth. They both used to eat food. Look how We make clear to them the signs; then look how they are deluded.
Maseeh ibn-e-marium siwa payghumbar honey kay aur kuch bhi nahi uss say pehlay bhi boht say payghumbar ho chukay hain unn ki walida aik raast baaz aurat thi dono maa betay khana khaya kertay thay aap dekhiye kay kiss tarah hum inn kay samney daleelen rakhtay hain phir ghor kijiye kay kiss tarah woh phiray jatay hain.
मसीह बिन मरियम तो सिर्फ़ एक रसूल हैं, उनसे पहले भी बहुत-से रसूल गुज़र चुके हैं, और उनकी वालिदा बहुत सच्ची थीं, दोनों खाना खाते थे, देखिए कि हम किस तरह उनके सामने दलीलें बयान कर रहे हैं फिर देखिए कि वे किधर उल्टे चले जा रहे हैं।
And when Moses arrived at Our appointed time and his Lord spoke to him, he said, "My Lord, show me [Yourself] that I may look at You." [ Allah ] said, "You will not see Me, but look at the mountain; if it should remain in place, then you will see Me." But when his Lord appeared to the mountain, He rendered it level, and Moses fell unconscious. And when he awoke, he said, "Exalted are You! I have repented to You, and I am the first of the believers."
Aur jab musa ( alh-e-salam ) humaray waqt per aaye aur unn kay rab ney unn say baaten kin to arz kiya kay aey meray perwerdigar! Apna deedar mujh ko kera dijiye kay mein aik nazar aap ko dekh loon irshad hua kay tum mujh ko hergiz nahi dekh saktay lekin tum iss pahar ki taraf dekhtay raho woh agar apni jagah per bar qarar raha to tum bhi mujhay dekh sako gay. Pus jab unn kay rab ney pahar per tajalli farmaee to tajalli ney uss kay purkhachay ura diye aur musa ( alh-e-salam ) bey hosh ho ker girr paray. Phir jab hosh mein aaye to arz kiya be-shak aap ki zaat pak hai mein aap ki janab mein tauba kerta hun aur mein sab say pehlay aap per eman laney wala hun.
और जब मूसा (अलै॰) हमारे वक़्त पर आ गए तो उसके रब ने उससे कलाम किया, उसने कहाः ऐ मेरे रब! मुझे अपने को दिखा दीजिए कि मैं आपको देखूँ, (अल्लाह ने) कहाः तुम मुझको हरगिज़ नहीं देख सकते अलबत्ता पहाड़ की तरफ़ देखो अगर वह अपनी जगह क़ायम रह जाए तो तुम भी मुझको देख सकोगे, फिर जब उसके रब ने पहाड़ पर अपनी तजल्ली डाली तो उसको टुकड़े-टुकड़े कर दिया और मूसा (अलै॰) बेहोश होकर गिर पड़े, फिर जब उसको होश आया तो कहा कि आप पाक हैं, मैंने आपकी तरफ़ रुजूअ़ किया और मैं सबसे पहले ईमान लाने वाला हूँ।