Say, [O Muhammad], "I do not tell you that I have the depositories [containing the provision] of Allah or that I know the unseen, nor do I tell you that I am an angel. I only follow what is revealed to me." Say, "Is the blind equivalent to the seeing? Then will you not give thought?"
Aap keh dijiye kay na to mein tum say yeh kehta hun kay meray pass Allah kay khazaney hain aur na mein ghaib janta hun aur na mein tum say yeh kehta hun kay mein farishta hun. Mein to sirf jo kuch meray pass wahee aati hai uss ka ittabaa kerta hun aap kahiye kay andha aur beena kahin barabar ho sakta hai. So kiya tum ghor nahi kertay?
आप कह दें कि मैं तुम से यह नहीं कहता कि मेरे पास अल्लाह के ख़ज़ाने हैं और न मैं ग़ैब को जानता हूँ और न मैं तुमसे यह कहता हूँ कि मैं फ़रिश्ता हूँ, मैं तो बस उस वह्य की पैरवी करता हूँ जो मेरे पास आती है, आप कहिए कि क्या अंधा और आँखों वाला दोनों बराबर हो सकते हैं, क्या तुम ग़ौर नहीं करते?
Say, "I possess not for myself any harm or benefit except what Allah should will. For every nation is a [specified] term. When their time has come, then they will not remain behind an hour, nor will they precede [it]."
Aap farma dijiye kay mein apni zaat kay liye to kissi nafay ka aur kissi zarrar ka ikhtiyar rakhta hi nahi magar jitna Allah ko manzoor ho. Her ummat kay liye aik moyyen waqt hai jab unn ka woh moyyen waqt aa phonchta hai to aik ghari na peechay hatt saktay hain aur na aagay sirak saktay hain.
कह दीजिए कि मैं अपने वास्ते भी बुरे और भले का मालिक नहीं मगर जो अल्लाह चाहे, हर उम्मत के लिए एक वक़्त है, जब उनका वक़्त आ जाता है तो फिर न वह एक घड़ी पीछे होते हैं और न आगे।