Have you not considered the assembly of the Children of Israel after [the time of] Moses when they said to a prophet of theirs, "Send to us a king, and we will fight in the way of Allah "? He said, "Would you perhaps refrain from fighting if fighting was prescribed for you?" They said, "And why should we not fight in the cause of Allah when we have been driven out from our homes and from our children?" But when fighting was prescribed for them, they turned away, except for a few of them. And Allah is Knowing of the wrongdoers.
Kiya aap ney ( hazrat ) musa kay baad wali bani israeel ki jamat ko nahi dekha jab kay unhon ney apney payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye takay hum Allah ki raah mein jihad keren. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihad farz hojaney kay baad tum jihad na kero unhon ney kaha bhala hum Allah ki raah mein jihad kiyon na keren gay? Hum to apney gharon say ujaray gaye hain aur bachon say door ker diye gaye hain. Phir jab unn per jihad farz hua to siwaye thoray say logon kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai.
क्या तुमने बनी-इस्राईल के सरदारों को नहीं देखा मूसा (अलै॰) के बाद जबकि उन्होंने अपने नबी से कहा हमारे लिए एक बादशाह मुक़र्रर कर दीजिए; ताकि हम अल्लाह की राह में लड़ें, नबी ने जवाब दियाः कहीं ऐसा न हो कि तुमको हुक्म दे दिया जाए लड़ाई का उस वक़्त तुम न लड़ो, उन्होंने कहा कि यह कैसे हो सकता है कि हम न लड़ें अल्लाह की राह में हालाँकि हमको अपने घरों से निकाल दिया गया है और अपने बच्चों से जुदा कर दिया गया है, फिर जब उनको लड़ाई का हुक्म हुआ तो सब पीछे हट गए सिवाए थोड़े लोगों के, और अल्लाह ज़ालिमों को ख़ूब जानता है।
And their prophet said to them, "Indeed, Allah has sent to you Saul as a king." They said, "How can he have kingship over us while we are more worthy of kingship than him and he has not been given any measure of wealth?" He said, "Indeed, Allah has chosen him over you and has increased him abundantly in knowledge and stature. And Allah gives His sovereignty to whom He wills. And Allah is all-Encompassing [in favor] and Knowing."
Aur unhen unn kay nabi ney farmaya kay Allah Taalaa ney taloot ko tumahra badshah bana diya hai to kehney lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to boht ziyada haq daar badshaat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi ney farmaya suno Allah Taalaa ney ussi ko tum per bar gazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ata farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chahaye apna mulk dey Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.
और उनके नबी ने उनसे कहाः अल्लाह ने “तालूत” को तुम्हारे लिए बादशाह मुक़र्रर किया है, उन्होंने कहा कि उसको हमारे ऊपर बादशाही कैसे मिल सकती है हालाँकि हम उसके मुक़ाबले में बादशाहत के ज़्यादा हक़दार हैं, और उसको तो ज़्यादा दौलत भी हासिल नहीं, नबी ने कहाः अल्लाह ने तुम्हारे मुक़ाबले में उसको चुना है और इल्म और जिस्म में उसको ज़्यादती दी है, और अल्लाह अपनी सल्तनत जिसको चाहता है देता है, अल्लाह बड़ी वुसअत वाला, जानने वाला है।