Permission [to fight] has been given to those who are being fought, because they were wronged. And indeed, Allah is competent to give them victory.
Jin ( musalmano ) say ( kafir ) jang ker rahey hain unhen bhi muqablay ki ijazat di jati hai kiyon kay woh mazloom hain. Be-shak unn ki madad per Allah qadir hai.
अनुमति दी गई उन लोगों को जिन के विरुद्ध युद्ध किया जा रहा है, क्योंकि उन पर ज़ुल्म किया गया - और निश्चय ही अल्लाह उन की सहायता की पूरी सामर्थ्य रखता है। -
[They are] those who have been evicted from their homes without right - only because they say, "Our Lord is Allah ." And were it not that Allah checks the people, some by means of others, there would have been demolished monasteries, churches, synagogues, and mosques in which the name of Allah is much mentioned. And Allah will surely support those who support Him. Indeed, Allah is Powerful and Exalted in Might.
Yeh woh hain jinhen na-haq apnay gharon say nikala gaya sirf unn kay iss qol per ker humara perwerdigar faqat Allah hai. Agar Allah Taalaa logon ko aapas mein aik doosray say na hatata rehta to ibadat khaney aur girjay aur masjiden aur yahoodiyon kay maabad aur woh masjiden bhi dha di jaten jahan Allah ka naam ba-kasrat liya jata hai. Jo Allah ki madad keray ga Allah bhi zaroor uss ki madad keray ga. Be-shak Allah Taalaa bari qooaton wala baray ghalbay wala hai.
ये वे लोग हैं जो अपने घरों से नाहक़ निकाले गए, केवल इसलिए कि वे कहते हैं कि "हमारा रब अल्लाह है।" यदि अल्लाह लोगों को एक-दूसरे के द्वारा हटाता न रहता तो मठ और गिरजा और यहूदी प्रार्थना भवन और मस्जिदें, जिनमें अल्लाह का अधिक नाम लिया जाता है, सब ढा दी जातीं। अल्लाह अवश्य उस की सहायता करेगा, जो उस की सहायता करेगा - निश्चय ही अल्लाह बड़ा बलवान, प्रभुत्वशाली है