So let those fight in the cause of Allah who sell the life of this world for the Hereafter. And he who fights in the cause of Allah and is killed or achieves victory - We will bestow upon him a great reward.
Pus jo log duniya ki zindagi ko aakhirat kay badlay baich chukay hain unhen Allah Taalaa ki raah mein jihad kerna chahaiye aur jo shaks Allah Taalaa ki raah mein jihad kertay huye shahdat paa ley ya ghalib aajaye yaqeenan hum ussay bara sawab inayat farmayen gay.
पस चाहिए कि लड़ें अल्लाह की राह में वे लोग जो आख़िरत के बदले दुनिया की ज़िंदगी को बेच देते हैं, और जो शख़्स अल्लाह की राह में लड़े फिर मारा जाए या ग़ालिब आ जाए तो हम उसको बड़ा अज्र देंगे।
No good is there in much of their private conversation, except for those who enjoin charity or that which is right or conciliation between people. And whoever does that seeking means to the approval of Allah - then We are going to give him a great reward.
Inn kay aksay khufia mashwaron mein koi khair nahi haan! Bhalaee uss kay mashwaray mein hai jo kheyraat kay ya nek baat ka ya logon mein sulah keraney ka hukum keray aur jo shaks sirf Allah Taalaa ki raza mandi hasil kerney kay iraday say yeh kaam keray ussay hum yaqeenan boht bara sawab den gay.
उनकी अकसर सरगोशियों में कोई भलाई नहीं है, भलाई वाली सरगोशी सिर्फ़ उसकी है जो सदक़ा करने को कहे या किसी नेक काम के लिए या लोगों में सुलह कराने के लिए कहे, और जो शख़्स अल्लाह की ख़ुशनूदी के लिए ऐसा करे तो हम उसको बड़ा अज्र अता करेंगे।