[The Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, remember My favor upon you and upon your mother when I supported you with the Pure Spirit and you spoke to the people in the cradle and in maturity; and [remember] when I taught you writing and wisdom and the Torah and the Gospel; and when you designed from clay [what was] like the form of a bird with My permission, then you breathed into it, and it became a bird with My permission; and you healed the blind and the leper with My permission; and when you brought forth the dead with My permission; and when I restrained the Children of Israel from [killing] you when you came to them with clear proofs and those who disbelieved among them said, "This is not but obvious magic."
Jab kay Allah Taalaa irshad farmaye ga kay aey essa bin marium mera inam yaad kero jo tum per aur tumhari walida per hua hai jab mein ney tumhen rooh-ul-quddus say taeed di. Tum logon say kalaam kertay thay godd mein bhi aur bari umar mein bhi aur jabkay mein ney tum ko kitab aur hikmat ki baaten aur toraat aur injeel ki taleem di aur jab kay tum meray hukum say gaaray say aik shakal banatay thay jaisay parinday ki shakal hoti hai phir tum iss kay andar phoonk maar detay thay jiss say woh parind bann jata tha meray hukum say aur tum acha ker detay thay maadar zaad andhay ko aur korhi ko meray hukum say aur jab kay tum murdon ko nikal khara ker letay thay meray hukum say aur jab kay mein ney bani israeel ko tum say baaz rakha jab tum unn kay pass daleelen ley ker aaye thay phir unn mein jo kafir thay unhon ney kaha tha kay ba-juz khullay jadoo kay yeh aur kuch bhi nahi.
जब अल्लाह कहेगाः ऐ ईसा बिन मरियम! मेरी उस नेमत को याद करो जो मैंने तुम पर और तुम्हारी माँ पर की, जबकि मैंने रूहुल-क़ुद्स से तुम्हारी मदद की, तुम लोगों से बात करते थे गोद में भी और बड़ी उम्र में भी, और जब मैंने तुमको किताब और हिकमत और तौरात व इंजील की तालीम दी, और जब तुम बनाते थे मिट्टी से परिंदे जैसी सूरत मेरे हुक्म से फिर उस में फूँक मारते थे तो वे मेरे हुक्म से परिंदा बन जाती थी, और तुम अंधे और कोढ़ी को मेरे हुक्म से अच्छा कर देते थे, और जब तुम मुर्दों को मेरे हुक्म से निकाल खड़ा करते थे, और जब मैंने बनी-इस्राईल को तुम से रोका जबकि तुम उनके पास खुली निशानियाँ लेकर आए तो उनमें से काफ़िरों ने कहा कि यह तो बस एक खुला हुआ जादू है।
[And remember] when the disciples said, "O Jesus, Son of Mary, can your Lord send down to us a table [spread with food] from the heaven? [Jesus] said," Fear Allah , if you should be believers."
Woh waqt yaad kay qabil hai jab kay hawariyon ney arz kiya kay essa bin marium! Kiya aap ka rab aisa ker sakta hai kay hum per aasman say aik khuwaan nazil farma dey? Aap ney farmaya Allah say daro agar tum eman laye ho.
जब हवारियों ने कहा कि ऐ ईसा बिन मरियम! क्या आपका रब यह कर सकता है कि हम पर आसमान से एक दस्तरख़्वान उतारे, ईसा (अलै॰) ने फ़रमायाः अल्लाह से डरो अगर तुम ईमान वाले हो।
And [beware the Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, did you say to the people, 'Take me and my mother as deities besides Allah ?'" He will say, "Exalted are You! It was not for me to say that to which I have no right. If I had said it, You would have known it. You know what is within myself, and I do not know what is within Yourself. Indeed, it is You who is Knower of the unseen.
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai.
और जब अल्लाह पूछेगा कि ऐ ईसा बिन मरियम! क्या तुमने लोगों को कहा था कि मुझको और मेरी माँ को अल्लाह के सिवा माबूद बना लो? वे जवाब देंगे कि (ऐ रब) आप तो पाक हैं, मेरा यह काम न था कि मैं वह बात कहूँ जिसका मुझे कोई हक़ नहीं, अगर मैंने यह कहा होगा तो आपको ज़रूर मालूम होगा, आप जानते हैं जो मेरे जी में है और मैं नहीं जानता जो आपके जी में है, बेशक आप ही तो छुपी बातों को जानने वाले हैं।