Indeed, Allah is the cleaver of grain and date seeds. He brings the living out of the dead and brings the dead out of the living. That is Allah ; so how are you deluded?
Be-shak Allah Taalaa daaney ko aur guthliyon ko phaarney wala hai woh jaandaar ko bey jaan say nikal laata hai aur woh bey jaan ko jaandaar say nikalney wala hai Allah Taalaa yeh hai so tum kahan ultay chalay jarahey ho.
बेशक अल्लाह दाने और गुठली को फाड़ने वाला है, वह जानदार को बेजान से निकालता है और वही बेजान को जानदार से निकालने वाला है, वही तुम्हारा अल्लाह है फिर तुम किधर बहके चले जा रहे हो?
[He is] the cleaver of daybreak and has made the night for rest and the sun and moon for calculation. That is the determination of the Exalted in Might, the Knowing.
Woh subha ka nikalney wala hai aur uss ney raat ko rahat ki cheez banaya hai aur sooraj aur chand ko hisab say rakha hai. Yeh thehraee baat hai aisi zaat ki jo kay qadir hai baray ilm wala hai.
वही निकालने वाला है सुबह का और उसने रात को सुकून का वक़्त बनाया और सूरज और चाँद को हिसाब से रखा है, यह मुक़र्रर किया हुआ है बड़े ग़ल्बे वाले, बड़े इल्म वाले की तरफ़ से।