Indeed, they who have believed and done righteous deeds and humbled themselves to their Lord - those are the companions of Paradise; they will abide eternally therein.
Yaqeenan jo log eman laye aur unhon ney kaam bhi nek kiye aur apney paalney walay ki taraf jhuktay rahey wohi jannat mein janey walay hain jahan woh hamesha hi rehney walay hain.
जो लोग ईमान लाए और जिन्होंने नेक अमल किए और अपने रब के सामने आजिज़ी की वही लोग जन्नत वाले हैं, वे उसमें हमेशा रहेंगे।
And they will say, "Praise to Allah , who has fulfilled for us His promise and made us inherit the earth [so] we may settle in Paradise wherever we will. And excellent is the reward of [righteous] workers."
Yeh kahen gay kay Allah ka shukar hai jiss ney hum say apna wada poora kiya aur hamen iss zamin ka waris bana diya kay jannat mein jahan chahyen muqam ker len pus amal kerney walon ka kiya hi acha badla hai.
और वे कहेंगे, "प्रशंसा अल्लाह के लिए, जिस ने हमारे साथ अपना वादा सच कर दिखाया, और हमें इस भूमि का वारिस बनाया कि हम जन्नत में जहाँ चाहें वहाँ रहें-बसे।" अतः क्या ही अच्छा प्रतिदान है कर्म करने वालों का!-
Those are the ones from whom We will accept the best of what they did and overlook their misdeeds, [their being] among the companions of Paradise. [That is] the promise of truth which they had been promised.
Yehi woh log hain jinn kay nek aemaal to hum qabool farma letay hain aur jinn kay bad aemaal say darguzar ker letay hain ( yeh ) jannati logon mein hain. Iss sachay waday kay mutabiq jo inn say kiya jata tha.
ऐसे ही लोग हैं जिनसे हम अच्छे कर्म, जो उन्होंने किए होंगे, स्वीकार कर लेगें और उन की बुराइयों को टाल जाएँगे। इस हाल में कि वे जन्नत वालों में होंगे, उस सच्चे वादे के अनुरूप जो उन से किया जाता रहा है