And Allah has made for you from your homes a place of rest and made for you from the hides of the animals tents which you find light on your day of travel and your day of encampment; and from their wool, fur and hair is furnishing and enjoyment for a time.
Aur Allah Taalaa ney tumharay liye tumharay gharon mein sakoonat ki jagah bana di hai aur ussi ney tumharay liye chopayon ki khalon kay ghar bana diye hain jinhen tum halka phulka patay ho apney kooch kay din aur apney theharney kay din bhi aur unn ki oon aur roo’on aur baalon say bhi uss ney boht say saman aur aik waqt muqarrara tak kay liye faeeday ki cheezen banaeen.
और अल्लाह ने तुम्हारे लिए तुम्हारे घरों को सुकून की जगह बनाया और तुम्हारे लिए जानवरों की खाल के घर बनाए जिनको तुम अपने सफ़र के दिन और क़याम के दिन हल्का पाते हो, और उनकी ऊन और उनकी रुएं और उनके बालों से घर का सामान और फ़ायदे की चीज़ें एक मुद्दत तक के लिए बनाएं।
And Allah has made for you, from that which He has created, shadows and has made for you from the mountains, shelters and has made for you garments which protect you from the heat and garments which protect you from your [enemy in] battle. Thus does He complete His favor upon you that you might submit [to Him].
Allah hi ney tumharay liye apni peda kerda cheezon mein say saye banaye hain aur ussi ney tumharay liye paharon mein ghaar banaye hain aur ussi ney tumharay liye kurtay banaye hain jo tumhen garmi say bachayen aur aisay kuraty bhi jo tumhen laraee kay waqt kaam aayen. Woh issi tarah apni poori poori nematen dey raha hai kay tum hukum bardaar bann jao.
और अल्लाह ने तुम्हारे लिए अपनी पैदा की हुई चीज़ों के साए बनाए और तुम्हारे लिए पहाड़ों में छुपने की जगह बनाई और तुम्हारे लिए ऐसे लिबास बनाए जो तुमको गर्मी से बचाते हैं और ऐसे लिबास बनाए जो लड़ाई में तुमको बचाते हैं, इसी तरह अल्लाह तुम पर अपनी नेमतें पूरी करता है; ताकि तुम फ़रमाँबरदार बनो।