Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।
And [He also forgave] the three who were left behind [and regretted their error] to the point that the earth closed in on them in spite of its vastness and their souls confined them and they were certain that there is no refuge from Allah except in Him. Then He turned to them so they could repent. Indeed, Allah is the Accepting of repentance, the Merciful.
Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai.
और उन तीन शख़्सों के हाल पर भी जिनका मामला मुल्तवी छोड़ दिया गया था, यहाँ तक कि जब ज़मीन बावजूद अपनी वुसअत के उन पर तंग होने लगी और वे ख़ुद अपनी जान से तंग आ गए और उन्होंने समझ लिया कि अल्लाह से कहीं पनाह नहीं मिल सकती सिवाए इसके कि उसी की तरफ़ रुजूअ़ किया जाए, फिर अल्लाह ने उनके हाल पर तवज्जोह फ़रमाई ताकि वे आइंदा भी तौबा कर सकें, बेशक अल्लाह तौबा क़बूल करने वाला बड़ा रहम करने वाला है।