And We have revealed to you, [O Muhammad], the Book in truth, confirming that which preceded it of the Scripture and as a criterion over it. So judge between them by what Allah has revealed and do not follow their inclinations away from what has come to you of the truth. To each of you We prescribed a law and a method. Had Allah willed, He would have made you one nation [united in religion], but [He intended] to test you in what He has given you; so race to [all that is] good. To Allah is your return all together, and He will [then] inform you concerning that over which you used to differ.
Aur hum ney aap ki taraf haq kay sath yeh kitab nazil farmaee hai jo apney say agli kitabon ki tasdeeq kerney wali hai aur inn ki mohafiz hai. Iss liye aap inn kay aapas kay moamlaat mein issi utari hui kitab kay sath hukum kijiye iss haq say hatt ker inn ki khuwaishon kay peechay na jaiye tum mein say her aik kay liye hum ney aik dastoor aur raah muqarrar ker di hai. Agar manzoor maula hota to tum sab ko aik hi ummat bana deta lekin uss ki chahat hai kay jo tumhen diya hai uss mein tumhen aazmaye tum nekiyon ki taraf jaldi kero tum sab ka rujoo Allah hi ki taraf hai phir woh tumhen her woh cheez bata dey ga jiss mein tum ikhtilaf kertay rehtay ho.
और हमने आपकी तरफ़ किताब उतारी हक़ के साथ, तस्दीक़ करने वाली पिछली किताब की और उसके मज़ामीन पर निगहबान, पस आप फ़ैसला करें उसके मुताबिक़ जो अल्लाह ने उतारा है, और जो हक़ आपके पास आ चुका है उसको छोड़ कर उनकी ख़्वाहिशों की पैरवी न करें, हमने तुम में से हर एक के लिए एक शरीअत और एक तरीक़ा ठहराया है, और अगर अल्लाह चाहता तो तुमको एक ही उम्मत बना देता मगर अल्लाह ने चाहा कि वह अपने दिए हुए हुक्मों में तुम्हारी आज़माइश करे पस तुम भलाइयों की तरफ़ दौड़ो, आख़िरकार तुम सबको अल्लाह की तरफ़ लौट कर जाना है फिर वह तुमको आगाह कर देगा उस चीज़ से जिसमें तुम इख़्तिलाफ़ कर रहे थे।
And it is He who has made you successors upon the earth and has raised some of you above others in degrees [of rank] that He may try you through what He has given you. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai.
और वही है जिसने तुम्हें ज़मीन में एक-दूसरे का जानशीन बनाया और तुम में से एक का रुतबा दूसरे पर बुलंद किया; ताकि वह आज़माए तुमको अपने दिए हुए में, आपका रब जल्द सज़ा देने वाला और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।