Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।
Do they not look into the realm of the heavens and the earth and everything that Allah has created and [think] that perhaps their appointed time has come near? So in what statement hereafter will they believe?
Aur kiya inn logon ney ghor nahi kiya aasamanon aur zamin kay aalam mein aur doosri cheezon mein jo Allah ney peda ki hain aur iss baat mein kay mumkin hai kay unn ki ajal qarib hi aa phonchi ho. Phir quran kay baad konsi baat per yeh log eman layen gay?
क्या उन्होंने आसमानों और ज़मीन के निज़ाम पर नज़र नहीं की और जो कुछ अल्लाह ने पैदा किया है हर चीज़ से और इस बात पर कि शायद उनकी मुद्दत क़रीब आ गई हो, पस इसके बाद वे किस बात पर ईमान लाएंगे।