And know that among you is the Messenger of Allah . If he were to obey you in much of the matter, you would be in difficulty, but Allah has endeared to you the faith and has made it pleasing in your hearts and has made hateful to you disbelief, defiance and disobedience. Those are the [rightly] guided.
Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney eman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log raah yaafta hain.
जान लो कि तुम्हारे बीच अल्लाह का रसूल मौजूद है। बहुत-से मामलों में यदि वह तुम्हारी बात मान ले तो तुम कठिनाई में पड़ जाओ। किन्तु अल्लाह ने तुम्हारे लिए ईमान को प्रिय बना दिया और उसे तुम्हारे दिलों में सुन्दरता दे दी और इनकार, उल्लंघन और अवज्ञा को तुम्हारे लिए बहुत अप्रिय बना दिया।
You will not find a people who believe in Allah and the Last Day having affection for those who oppose Allah and His Messenger, even if they were their fathers or their sons or their brothers or their kindred. Those - He has decreed within their hearts faith and supported them with spirit from Him. And We will admit them to gardens beneath which rivers flow, wherein they abide eternally. Allah is pleased with them, and they are pleased with Him - those are the party of Allah . Unquestionably, the party of Allah - they are the successful.
Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walon ko aap Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kerney walon say mohabbat rakhtay huye hergiz na payen gay go woh unn kay baap ya unn kay betay ya unn kay bhai ya unn kay kunbay ( qabeelay ) kay ( aziz ) hi kiyon na hon. Yehi log hain jin kay dilon mein Allah Taalaa ney eman likh diya hai aur jin ki taeed apni rooh say ki hai aur jinhen unn jannaton mein dakhil keray ga jin kay neechay nehren beh rahi hain jahan yeh hamesha rahen gay Allah inn say razi hai aur yeh Allah say khush hain yeh khudaee lashkar hai aagah raho be-shak Allah kay giroh walay hi kaamyaab log hain.
तुम उन लोगों को ऐसा कभी नहीं पाओगे जो अल्लाह और अन्तिम दिन पर ईमान रखते हैं कि वे उन लोगों से प्रेम करते हो जिन्होंने अल्लाह और उस के रसूल का विरोध किया, यद्यपि वे उन के अपने बाप हों या उन के अपने बेटे हो या उन के अपने भाई या उन के अपने परिवार वाले ही हो। वही लोग हैं जिन के दिलों में अल्लाह ने ईमान को अंकित कर दिया है और अपनी ओर से एक आत्मा के द्वारा उन्हें शक्ति दी है। और उन्हें वह ऐसे बाग़ों में दाख़िल करेगा जिन के नीचे नहरें बह रही होंगी; जहाँ वे सदैव रहेंगे। अल्लाह उन से राज़ी हुआ और वे भी उस से राज़ी हुए। वे अल्लाह की पार्टी के लोग हैं। सावधान रहो, निश्चय ही अल्लाह की पार्टी वाले ही सफल हैं