And they said, "Why was this Qur'an not sent down upon a great man from [one of] the two cities?"
Aur kehney lagay yeh quran inn dono bastiyon mein say kissi baray aadmi per kiyon na nazil kiya gaya.
वे कहते हैं, "यह क़ुरआन इन दो बस्तियों के किसी बड़े आदमी पर क्यों नहीं अवतरित हुआ?"
In parchment spread open
Jo jhilli kay khulay huye warq mein hai.
फैले हुए झिल्ली के पन्ने में
And thus We have made for every prophet an enemy - devils from mankind and jinn, inspiring to one another decorative speech in delusion. But if your Lord had willed, they would not have done it, so leave them and that which they invent.
Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.
और इसी तरह हमने शरीर इंसानों और शरीर जिन्नात को हर नबी का दुश्मन बना दिया, वे एक-दूसरे को पुर-फ़रेब बातें सिखाते हैं धोका देने के लिए, और अगर आपका रब चाहता तो वे ऐसा न कर सकते, पस आप उन्हें छोड़ दें कि वे झूठ बाँधते हैं।
And among them are those who abuse the Prophet and say, "He is an ear." Say, "[It is] an ear of goodness for you that believes in Allah and believes the believers and [is] a mercy to those who believe among you." And those who abuse the Messenger of Allah - for them is a painful punishment.
Inn mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat hai rasool Allah ( PBUH ) ko jo log ezze detay hain unn kay liye dukh ki maar hai.
और उनमें वे लोग भी हैं जो नबी को दुख देते हैं और कहते हैं कि यह शख़्स तो कान का कच्चा है, कह दीजिए कि वह तुम्हारी भलाई के लिए कान है, वे अल्लाह पर ईमान रखते हैं और अहले-ईमान पर एतमाद करते हैं और वे रहमत हैं उनके लिए जो तुम में अहले-ईमान हैं, और जो लोग अल्लाह और उसके रसूल को दुख देते हैं उनके लिए दर्दनाक सज़ा है।