And thus will your Lord choose you and teach you the interpretation of narratives and complete His favor upon you and upon the family of Jacob, as He completed it upon your fathers before, Abraham and Isaac. Indeed, your Lord is Knowing and Wise."
Aur issi tarah tujhay tera perwerdigar bargazeedah keray ga aur tujhay moamla fehmi ( ya khuwabon ki tabeer ) bhi sikhaye ga aur apni nemat tujhay bharpoor ata farmaye ga aur yaqoob kay ghar walon ko bhi jaisay kay uss ney iss say pehlay teray dada aur per-dada yani ibrahim-o-ishaq ko bhi bhar poor apni nemat di yaqeenan tera rab boht baray ilm wala aur zabardast hikmat wala hai.
और इसी तरह तुम्हारा रब तुमको मुंतख़ब करेगा और तुमको बातों की हक़ीक़त तक पहुँचना सिखाएगा और तुम पर और आले-याक़ूब पर अपनी नेमत पूरी करेगा जिस तरह वह इससे पहले तुम्हारे बाप-दादा इब्राहीम और इसहाक़ (अलैहिमस्सलाम) पर अपनी नेमत पूरी कर चुका है, यक़ीनन तुम्हारा रब जानने वाला, हिकमत वाला है।
It is He who has sent down to you, [O Muhammad], the Book; in it are verses [that are] precise - they are the foundation of the Book - and others unspecific. As for those in whose hearts is deviation [from truth], they will follow that of it which is unspecific, seeking discord and seeking an interpretation [suitable to them]. And no one knows its [true] interpretation except Allah . But those firm in knowledge say, "We believe in it. All [of it] is from our Lord." And no one will be reminded except those of understanding.
Wohi Allah Taalaa hai jiss ney tujh per kitab utari jiss mein wazeh mazboot aayaten hain jo asal kitab hain aur baaz mutashabeh aayaten hain. Pus jin kay dilon mein kuji hai woh to iss ki mutashabeh aayaton kay peechay lag jatay hain fitney ki talab aur inn kay murad ki justujoo kay liye halankay inn ki haqeeqi murad ko siwaye Allah Taalaa kay koi nahi janta aur pukhta aur mazboor ilm walay yehi kehtay hain kay hum to inn per eman laa chukay yeh humaray rab ki taraf say hain aur naseehat to sirf aqal mand hi hasil kertay hain.
वही है जिसने तुम्हारे ऊपर किताब उतारी, उसमें बअज़ आयतें साफ़-साफ़ हैं, वह किताब की असल हैं, और दूसरी आयतें “मुतशाबेह” हैं, पस जिनके दिलों में टेढ़ापन है वह मुतशाबेह आयतों के पीछे पड़ जाते हैं, फ़ित्ने की ग़र्ज़ से और उसके मतलब की तलाश में; हालाँकि उनका मतलब कोई नहीं जानता अल्लाह के सिवा, और जो लोग पुख़्ता इल्म वाले हैं वह कहते हैं कि हम उस पर ईमान लाए, सब हमारे रब की तरफ़ से है, और नसीहत वही लोग क़बूल करते हैं जो अक़्ल वाले हैं।
Do they await except its result? The Day its result comes those who had ignored it before will say, "The messengers of our Lord had come with the truth, so are there [now] any intercessors to intercede for us or could we be sent back to do other than we used to do?" They will have lost themselves, and lost from them is what they used to invent.
Inn logon ko aur kissi baat ka intizar nahi sirf iss kay akheet nateejay ka intizar hai jiss roz iss ka akheet nateeja paish aaye ga aur uss roz jo log iss ko pehlay say bhoolay huye thay yun kahen gay kay waqaee humaray rab kay payghumbar sachi sachi baaten laye thay so abb kiya koi humara sifarshi hai kay woh humari sifarish ker dey ya kiya hum phir wapis bhejay jaa saktay hain takay hum log unn aemaal kay jo hum kiya kertay thay bar khilaf doosray aemaal keren. Be-shak inn logon ney apney aap ko khasaray mein daal diya aur yeh jo jo baaten tarashtay thay sab gum hogaeen.
क्या अब भी वे इसी के मुंतज़िर हैं कि उसका मज़मून ज़ाहिर हो जाए, जिस दिन उसका मज़मून ज़ाहिर हो जाएगा तो वे लोग जो उसको पहले से भूले हुए थे बोल उठेंगे कि बेशक हमारे रब के पैग़म्बर हक़ लेकर आए थे, पस अब क्या कोई हमारी सिफ़ारिश करने वाले हैं कि हमारी सिफ़ारिश करें या हमको दोबारा वापस ही भेज दिया जाए ताकि हम उस अमल के सिवा दूसरे अमल करें जो हम पहले करते रहे थे, उन्होंने अपने आपको घाटे में डाला और उनसे गुम हो गया जो वह घड़ते थे।