So is it other than the religion of Allah they desire, while to Him have submitted [all] those within the heavens and earth, willingly or by compulsion, and to Him they will be returned?
Kiya woh Allah Taalaa kay deen kay siwa aur deen ki talash mein hain? Halankay tamam aasmanon walay aur sab zamin walay Allah Taalaa hi kay farmanbardar hain khushi say hon ya na khushi say sab ussi ki taraf lotaye jayen gay.
क्या ये लोग अल्लाह के दीन के सिवा कोई और दीन चाहते हैं; हालाँकि उसी के हुक्म में है जो कुछ आसमान और ज़मीन में है, ख़ुशी से या नाख़ुशी से, और सब उसी की तरफ़ लौटाए जाएंगे।
Say, "We have believed in Allah and in what was revealed to us and what was revealed to Abraham, Ishmael, Isaac, Jacob, and the Descendants, and in what was given to Moses and Jesus and to the prophets from their Lord. We make no distinction between any of them, and we are Muslims [submitting] to Him."
Aap keh dijiye kay hum Allah Taalaa per aur jo kuch hum per utara gaya hai aur jo kuch ibrahim ( alh-e-salam ) aur ismail ( alh-e-salam ) aur yaqoob ( alh-e-salam ) aur unn ki aulad per utara gaya aur jo kuch musa ( alh-e-salam ) aur essa ( alh-e-salam ) aur doosray anbiya Allah Taalaa ki taraf say diya gaye unn sab per eman laye hum inn mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay aur hum Allah Taalaa kay farmanbardar hain.
(ऐ नबी) आप कह दें कि हम अल्लाह पर ईमान लाए और उस पर जो हमारे ऊपर उतारा गया, और जो उतारा गया इब्राहीम और इस्माईल (अलैहिमस्सलाम) पर, और इसहाक़ व याक़ूब (अलैहिमस्सलाम) पर और औलादे-याक़ूब पर, और जो दिया गया मूसा और ईसा (अलैहिमस्सलाम) और दूसरे नबियों को उनके रब की तरफ़ से, हम उनके दरमियान फ़र्क़ नहीं करते और हम उसी के फ़रमाँबरदार हैं।
And whoever desires other than Islam as religion - never will it be accepted from him, and he, in the Hereafter, will be among the losers.
Jo shaks islam kay siwa aur deen talash keray uss ka deen qabool na kiya jayega aur woh aakhirat mein nuksan paney walon mein hoga.
और जो शख़्स इस्लाम के सिवा किसी दूसरे दीन को चाहेगा तो वह उससे हरगिज़ क़बूल न किया जाएगा, और वह आख़िरत में नामुरादों में से होगा।