Say, "Shall we invoke instead of Allah that which neither benefits us nor harms us and be turned back on our heels after Allah has guided us? [We would then be] like one whom the devils enticed [to wander] upon the earth confused, [while] he has companions inviting him to guidance, [calling], 'Come to us.' " Say, "Indeed, the guidance of Allah is the [only] guidance; and we have been commanded to submit to the Lord of the worlds.
Aap keh dijiye kay kiya hum Allah Taalaa kay siwa aisi cheez ko pukaren kay na woh hum ko nafa phonchaye aur na hum ko nuksan phonchaye aur kiya hum ultay phir jayen iss kay baad kay hum ko Allah Taalaa ney hidayat ker di hai jaisay koi shaks ho kay uss ko shetanon ney kahin jangal mein bey raah ker diya ho aur woh bhatakta phirta ho uss kay kuch sathi bhi hon kay woh uss ko theek raastay ki taraf bula rahey hon kay humaray pass aa. Aap keh dijiye kay yaqeeni baat hai kay raah-e-raast woh khaas Allah hi ki raah hai aur hum ko yeh hukum hua hai kay hum perwerdigar-e-aalam kay pooray mootee hojayen.
(ऐ नबी) आप कहिए कि क्या हम अल्लाह को छोड़ कर उनको पुकारें जो हमको न नफ़ा दे सकते हैं और न हमको नुक़सान पहुँचा सकते हैं और क्या हम उल्टे पाँव फिर जाएं बाद इसके कि अल्लाह हमको सीधा रास्ता दिखा चुका है, उस शख़्स के मानिंद जिसको शैतानों ने बयाबान में भटका दिया हो और वह हैरान फिर रहा हो, उसके साथी उसको सीधे रास्ते की तरफ़ बुला रहे हों कि हमारे पास आ जाओ, आप कह दीजिए कि रहनुमाई तो सिर्फ़ अल्लाह की रहनुमाई है और हमको हुक्म मिला है कि हम अपने आपको तमाम जहानों के परवरदिगार के हवाले कर दें।
That is the guidance of Allah by which He guides whomever He wills of His servants. But if they had associated others with Allah , then worthless for them would be whatever they were doing.
Allah ki hidayat hi hai jiss kay zariye apney bandon mein say jiss ko chahaye uss ko hidayat kerta hai aur agar farzan yeh hazraat bhi shirk kertay to jo kuch yeh aemaal kertay thay woh sab ikaarat ho jatay.
यह अल्लाह की हिदायत है जिससे वह रहनुमाई करता है अपने बंदों में से जिसकी चाहता है, और अगर वे शिर्क करते तो ज़ाया हो जाता जो कुछ उन्होंने किया था।
Allah has sent down the best statement: a consistent Book wherein is reiteration. The skins shiver therefrom of those who fear their Lord; then their skins and their hearts relax at the remembrance of Allah . That is the guidance of Allah by which He guides whom He wills. And one whom Allah leaves astray - for him there is no guide.
Allah Taalaa ney behtareen kalam nazil farmaya hai jo aisi kitab hai kay aapas mein milti julti aur baar baar dohraee hui aayaton ki hai jiss say unn logon kay rongtay kharay hojatay hain jo apnay rab ka khof rakhtay hain aakhir mein unn kay jisam aur dil Allah Taalaa kay zikar ki taraf naram hojatay hain yeh hai Allah Taalaa ki hidayat jiss kay zariyey jissay chahaye raah-e-raast per laga deta hai. Aur jissay Allah Taalaa hi raah bhula dey uss ka koi hadi nahi.
अल्लाह ने सर्वोत्तम वाणी अवतरित की, एक ऐसी किताब जिस के सभी भाग परस्पर मिलते-जुलते हैं, जो रुख़ फेर देने वाली (क्रांतिकारी) है। उस से उन लोगों के रोंगटे खड़े हो जाते हैं जो अपने रब से डरते हैं। फिर उन की खालें (शरीर) और उन के दिल नर्म होकर अल्लाह की याद की ओर झुक जाते हैं। वह अल्लाह का मार्गदर्शन है, उस के द्वारा वह सीधे मार्ग पर ले आता है, जिसे चाहता है। और जिस को अल्लाह पथभ्रष्ट रहने दे, फिर उस के लिए कोई मार्गदर्शक नहीं