And if you divorce them before you have touched them and you have already specified for them an obligation, then [give] half of what you specified - unless they forego the right or the one in whose hand is the marriage contract foregoes it. And to forego it is nearer to righteousness. And do not forget graciousness between you. Indeed Allah , of whatever you do, is Seeing.
Aur agar tum aurton ko iss say pehlay tallaq dey do kay tum ney unhen haath lagaya ho aur tum ney unn ka mehar bhi muqarrar ker diya ho to muqarrar mehar ka aadha mehar dey do yeh aur baat hai kay woh khud moaf ker den ya woh shaks moaf ker dey jiss kay haath mein nikkah ki girah hai tumhara moaf ker dena taqwa say boht nazdeek hai aur aapas ki fazeelat aur buzrugi ko faramosh na kero yaqeenan Allah Taalaa tumharay aemaal ko dekh raha hai.
और अगर तुम उनको तलाक़ दे दो क़ब्ल इसके कि उनको हाथ लगाओ और तुम उनके लिए कुछ महर भी मुक़र्रर कर चुके थे तो जितना महर तुमने मुक़र्रर किया है उसका आधा अदा कर दो, (हाँ) यह बात और है कि वे माफ़ कर दें या वह मर्द माफ़ कर दे जिसके हाथ में निकाह की ज़िम्मेदारी है, और यह कि तुम माफ़ कर दो तो ज़्यादा क़रीब है तक़वे से, और आपस में अच्छा बर्ताव करने में ग़फ़लत मत करो, जो कुछ तुम करते हो अल्लाह उसको देख रहा है।
And do not trust except those who follow your religion." Say, "Indeed, the [true] guidance is the guidance of Allah . [Do you fear] lest someone be given [knowledge] like you were given or that they would [thereby] argue with you before your Lord?" Say, "Indeed, [all] bounty is in the hand of Allah - He grants it to whom He wills. And Allah is all-Encompassing and Wise."
Aur siwaye tumharay deen per chalney walon kay aur kissi ka yaqeen na kero. Aap keh dijiye kay be-shak hidayat to Allah hi ki hidayat hai ( aur yeh bhi kehtay hain kay iss baat ka bhi yaqeen na kero ) kay koi uss jaisa diya jaye jaisa tum diye gaye ho ya yeh kay yeh tum say tumharay rab kay pass jhagra keren gay aap keh dijiye kay fazal to Allah Taalaa hi kay haath mein hai woh jissay chahaye ussay dey Allah Taalaa wusat wala aur janney wala hai.
और यक़ीन न करो मगर सिर्फ़ उसका जो चले तुम्हारे दीन पर, कह दीजिए कि हिदायत वही है जो अल्लाह हिदायत करे, और यह उसी की देन है कि किसी को वही कुछ दे दिया जाए जो तुमको दिया गया था, या वह तुमसे तुम्हारे रब के यहाँ हुज्जत करे, कह दें कि बड़ाई अल्लाह के हाथ में है, वह जिसको चाहता है देता है, और अल्लाह बड़ा वुसअत वाला है, इल्म वाला है।
[This is] so that the People of the Scripture may know that they are not able [to obtain] anything from the bounty of Allah and that [all] bounty is in the hand of Allah ; He gives it to whom He wills. And Allah is the possessor of great bounty.
yeh iss liye kay ehl-e-kitab jaan lein kay ALLAH kay fazal kay kissi hissay per bhi unhen ikhtiyar nahi aur yeh kay ( sara ) fazal ALLAH hi kay hath hai woh jissay chahye dey aur ALLAH hai hi bara fazal wala.
ताकि किताब वाले यह न समझें कि अल्लाह के अनुग्रह में से वे किसी चीज़ पर अधिकार न प्राप्त कर सकेंगे और यह कि अनुग्रह अल्लाह के हाथ में है, जिसे चाहता है प्रदान करता है। अल्लाह बड़े अनुग्रह का मालिक है