And to Solomon [We subjected] the wind - its morning [journey was that of] a month - and its afternoon [journey was that of] a month, and We made flow for him a spring of [liquid] copper. And among the jinn were those who worked for him by the permission of his Lord. And whoever deviated among them from Our command - We will make him taste of the punishment of the Blaze.
Aur hum ney suleman kay liye hawa ko musakkhar ker diya kay subah ki manzil uss ki maheena bhar ki hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ney unn kay liye taanbay ka chashma baha diya. Aur uss kay rab kay hukum say baaz jinnat uss ki ma-tehati mein uss kay samney kaam kertay thay aur inn mein say jo bhi humaray hukum say sirtabi keray hum ussay bharakti hui aag kay azab ka maza chakhayen gay.
और सुलैमान के लिए वायु को वशीभुत कर दिया था। प्रातः समय उस का चलना एक महीने की राह तक और सायंकाल को उस का चलना एक महीने की राह तक - और हम ने उस के लिए पिघले हुए ताँबे का स्रोत बहा दिया - और जिन्नों में से भी कुछ को (उस के वशीभूत कर दिया था,) जो अपने रब की अनुज्ञा से उस के आगे काम करते थे। (हमारा आदेश था,) "उन में से जो हमारे हुक्म से फिरेगा उसे हम भडकती आग का मज़ा चखाएँगे।"
They made for him what he willed of elevated chambers, statues, bowls like reservoirs, and stationary kettles. [We said], "Work, O family of David, in gratitude." And few of My servants are grateful.
Jo kuch suleman chahatay woh jinnat tayyar ker detay maslan qilay aur mujassmay aur hozon kay barabar lagan aur choolhon per jami hui mazboot deygen aey aal-e-dawood iss kay shukriya mein nek amal kero meray bandon mein say shukar guzar banday kum hi hotay hain.
वे उस के लिए बनाते, जो कुछ वह चाहता - बड़े-बड़े भवन, प्रतिमाएँ, बड़े हौज़ जैसे थाल और जमी रहने वाली देगें - "ऐ दाऊद के लोगों! कर्म करो, कृतज्ञता दिखाने के रूप में। मेरे बन्दों में कृतज्ञ थोड़े ही हैं।"
And when We decreed for Solomon death, nothing indicated to the jinn his death except a creature of the earth eating his staff. But when he fell, it became clear to the jinn that if they had known the unseen, they would not have remained in humiliating punishment.
Phir jab hum ney unn per maut ka hukum bhej diya to unn ki khabar jinnat ko kissi ney na di siwaye ghunn kay keeray kay jo unn kay asa ko kha raha tha. Pus jab ( suleman ) gir paray uss waqt jinno ney jaan liya kay agar woh ghaib daan hotay to iss zillat kay azab mein mubtila na rehtay.
फिर जब हम ने उस के लिए मौत का फ़ैसला लागू किया तो फिर उन जिन्नों को उस की मौत का पता बस भूमि के उस कीड़े ने दिया जो उस की लाठी को खा रहा था। फिर जब वह गिर पड़ा, तब जिन्नों पर प्रकट हुआ कि यदि वे परोक्ष के जानने वाले होते तो इस अपमानजनक यातना में पड़े न रहते