Have you made the providing of water for the pilgrim and the maintenance of al-Masjid al-Haram equal to [the deeds of] one who believes in Allah and the Last Day and strives in the cause of Allah ? They are not equal in the sight of Allah . And Allah does not guide the wrongdoing people.
Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta.
क्या तुमने हाजियों के पानी पिलाने और मस्जिदे-हराम के बसाने को बराबर कर दिया उस शख़्स के जो अल्लाह पर और आख़िरत पर ईमान लाया और अल्लाह की राह में जिहाद किया, अल्लाह के नज़दीक ये दोनों बराबर नहीं हो सकते, और अल्लाह ज़ालिम लोगों को राह नहीं दिखाता।
The ones who have believed, emigrated and striven in the cause of Allah with their wealth and their lives are greater in rank in the sight of Allah . And it is those who are the attainers [of success].
Jo log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain.
जो लोग ईमान लाए और उन्होंने हिजरत की और अल्लाह के रास्ते में अपने माल व जान से जिहाद किया, उनका दर्जा अल्लाह के यहाँ बड़ा है और यही लोग कामयाब हैं।
Their Lord gives them good tidings of mercy from Him and approval and of gardens for them wherein is enduring pleasure.
Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat hai.
उनका रब उनको ख़ुश-ख़बरी देता है अपनी रहमत और ख़ुशनूदी की और ऐसे बाग़ात की जिनमें उनके लिए हमेशा रहने वाली नेमत होगी।
[They will be] abiding therein forever. Indeed, Allah has with Him a great reward.
Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain.
उनमें वे हमेशा रहेंगे, बेशक अल्लाह ही के पास बड़ा अज्र है।