And Allah had already taken a covenant from the Children of Israel, and We delegated from among them twelve leaders. And Allah said, "I am with you. If you establish prayer and give zakah and believe in My messengers and support them and loan Allah a goodly loan, I will surely remove from you your misdeeds and admit you to gardens beneath which rivers flow. But whoever of you disbelieves after that has certainly strayed from the soundness of the way."
Aur Allah Taalaa ney bani israeel say ehad-o-paymaan liya aur unhi mein say baara sardar hum ney muqarrar farmaye aur Allah Taalaa ney farma diya kay yaqeenan mein tumharay sath hun agar tum namaz qaeem rakho gay aur zakat detay raho gay aur meray rasoolon ko maantay raho gay aur unn ki madad kertay raho gay aur Allah Taalaa ko behtar qarz detay raho gay to yaqeenan mein tumhari buraiyan tum say door rakhoon ga aur tumhen unn jannaton mein ley jaon ga jin kay neechay chashmay beh rahey hain abb iss ehas-o-paymaan kay baad bhi tum mein say jo inkari ho jaye woh yaqeenan raah-e-raast say bhatak gaya.
और अल्लाह ने बनी-इस्राईल से अहद लिया और हमने उनमें से बारह सरदार मुक़र्रर किए, और अल्लाह ने कहा कि मैं तुम्हारे साथ हूँ, अगर तुम नमाज़ क़ायम करोगे और ज़कात अदा करोगे और मेरे पैग़म्बरों पर ईमान लाओगे और उनकी मदद करोगे और अल्लाह को क़र्ज़े-हसन दोगे तो मैं तुमसे तुम्हारे गुनाह ज़रूर दूर कर दूँगा और तुमको ज़रूर ऐसे बाग़ों में दाख़िल करूँगा जिनके नीचे नहरें बहती होंगी, पस तुम में से जो शख़्स इसके बाद इनकार करेगा तो वह सीधे रास्ते से भटक गया।
Say, "Shall I inform you of [what is] worse than that as penalty from Allah ? [It is that of] those whom Allah has cursed and with whom He became angry and made of them apes and pigs and slaves of Taghut. Those are worse in position and further astray from the sound way."
Keh dijiye kay kiya mein tumehn bataon? Kay iss say bhi ziyada bura ajar paaney wala Allah kay nazdeek kaun hai? Woh jiss per Allah Taalaa ney laanat ki aur uss per woh ghussa hua aur unn mein say baaz ko bandar aur sooar bana diya aur jinhon ney maboodaan-e-baatil ki parastish ki yehi log bad tar darjay walay hain aur yehi raah-e-raast say boht ziyada bhatakney walay hain.
आप कह दीजिए कि क्या में तुमको बताऊँ वह जो अल्लाह के यहाँ अंजाम के ऐतबार से उससे भी ज़्यादा बुरी है, वह जिस पर अल्लाह ने लानत की और जिस पर उसका ग़ज़ब हुआ और जिनमें से बंदर और सुअर बना दिए और उन्होंने शैतान की इबादत की, ऐसे लोग ठिकाने के ऐतबार से बदतर और राहे-रास्त से बहुत दूर हैं।
And We divided them throughout the earth into nations. Of them some were righteous, and of them some were otherwise. And We tested them with good [times] and bad that perhaps they would return [to obedience].
Aur hum ney duniya mein inn ki mukhtalif jamaten ker den. Baaz inn mein nek thay aur baaz inn mein aur tarah thay aur hum inn ko khushaliyon aur bad haliyon say aazmatay rahey kay shayad baaz aajayen.
और हमने उनको गिरोह-गिरोह करके ज़मीन में फैला दिया, उनमें से कुछ नेक हैं और उनमें से कुछ उससे मुख़्तलिफ़, और हमने उनको आज़माया अच्छे हालात से और बुरे हालात से ताकि वे बाज़ आएं।
Except, among them, Your chosen servants."
Siwaye teray unn bandon kay jo muntakhib ker liye gaye hain.
सिवाए उनके जो तेरे चुने हुए बंदे हैं।
Except, among them, Your chosen servants."
Ba-juz teray unn bandon kay jo cheedah aur pasndeedah hon.
सिवाय उन में से तेरे उन बन्दों के, जो चुने हुए हैं।"