To Him is your return all together. [It is] the promise of Allah [which is] truth. Indeed, He begins the [process of] creation and then repeats it that He may reward those who have believed and done righteous deeds, in justice. But those who disbelieved will have a drink of scalding water and a painful punishment for what they used to deny.
Tum sab ko Allah hi kay pass jana hai Allah ney sacha wada ker rakha hai. Be-shak wohi pehli baar bhi peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga takay aisay logon ko jo kay eman laye aur unhon ney nek kaam kiye insaf kay sath jaza dey aur jin logon ney kufur kiya unn kay wastay kholta hua pani peenay ko milay ga aur dard naak azab hoga unn kay kufur ki waja say.
उसी की तरफ़ तुम सबको लौट कर जाना है, यह अल्लाह का पक्का वादा है, बेशक वह पैदाइश की इब्तिदा करता है फिर वह दोबारा पैदा करेगा; ताकि जो लोग ईमान लाए और उन्होंने नेक काम किए उनको इंसाफ़ के साथ बदला दे, और जिन्होंने इनकार किया उनके इनकार के बदले उनके लिए खौलता हुआ पानी और दर्दनाक अज़ाब है।
Say, "Are there of your 'partners' any who begins creation and then repeats it?" Say, " Allah begins creation and then repeats it, so how are you deluded?"
Aap yun kahiye kay kiya tumharay shurka mein koi aisa hai jo pehli baar bhi peda keray phir doobara bhi peda keray? Aap keh dijiye kay Allah hi pehli baar peda kerta hai phir wohi doobara bhi peda keray ga. Phir tum kahan phiray jatay ho?
कह दें कि क्या तुम्हारे ठहराए हुए शरीकों में कोई है जो पहली बार पैदा करता हो फिर वह दोबारा भी पैदा करे? कह दें कि अल्लाह ही पहली बार पैदा करता है फिर वही दोबारा भी पैदा करेगा फिर तुम कहाँ भटके जाते हो।
Allah begins creation; then He will repeat it; then to Him you will be returned.
Allah Taalaa hi makhlooq ki ibtida kerta hai phir wohi ussay doobara peda keray ga phir tum sab ussi ki taraf lotaye jaogay.
अल्लाह ही सृष्टि का आरम्भ करता है। फिर वही उस की पुनरावृति करता है। फिर उसी की ओर तुम पलटोगे
And it is He who begins creation; then He repeats it, and that is [even] easier for Him. To Him belongs the highest attribute in the heavens and earth. And He is the Exalted in Might, the Wise.
Wohi hai jo awwal baar makhlooq ko peda kerta hai phir ussay doobara peda keray ga aur yeh to uss per boht aasaan hai. Ussi ki behtareen aur aalaa sift hai aasmano aur zamin mein bhi aur wohi ghalbay wala hikmat wala hai.
वही है जो सृष्टि का आरम्भ करता है। फिर वही उस की पुनरावृत्ति करेगा। और यह उस के लिए अधिक सरल है। आकाशों और धरती में उसी मिसाल (गुण) सर्वोच्च है। और वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, तत्वदर्शी हैं