It is He who made the sun a shining light and the moon a derived light and determined for it phases - that you may know the number of years and account [of time]. Allah has not created this except in truth. He details the signs for a people who know
Woh Allah Taalaa aisa hai jiss ney aftab ko chamakta hua banaya aur chand ko noorani banaya aur uss kay liye manzilen muqarrar kin takay tum barson ki ginti aur hisab maloom ker liya kero. Allah Taalaa ney yeh cheezen bey faeeda nahi peda kin. Woh yeh dalaeel unn ko saaf saaf batla raha hai jo danish rakhtay hain.
और अल्लाह वही है जिसने सूरज को सरापा रौशनी बनाया और चाँद को सरापा नूर और उसके (सफ़र के) लिए मंज़िलें मुक़र्रर कर दीं; ताकि तुम बरसों की गिनती और (महीनों का) हिसाब मालूम कर सको, अल्लाह ने यह सब कुछ बग़ैर किसी सही मक़सद के पैदा नहीं कर दिया, वह ये निशानियाँ खोल-खोल कर बयान करता है उनके लिए जो कुछ समझ रखते हैं।
And We have made the night and day two signs, and We erased the sign of the night and made the sign of the day visible that you may seek bounty from your Lord and may know the number of years and the account [of time]. And everything We have set out in detail.
Hum ney raat aur din ko apni qudrat ki nishaniyan banaee hain raat ki nishani ko to hum ney bey noor ker diya hai aur din ki nishani ko roshan banaya hai takay tum apney rab ka fazal talash ker sako aur iss liye bhi kay barson ka shumar aur hisab maloom ker sako aur her her cheez ko hum ney boht tafseel say biyan farma diya hai.
और हमने रात और दिन को दो निशानियाँ बनाया फिर हमने रात की निशानी को मिटा दिया और दिन की निशानी को हमने रौशन कर दिया; ताकि तुम अपने रब का फ़ज़्ल तलाश करो और ताकि तुम बरसों की गिनती और हिसाब मालूम करो, और हमने हर चीज़ को ख़ूब खोल कर बयान किया है।
[ Allah ] will say, "How long did you remain on earth in number of years?"
Allah Taalaa daryaft farmaye ga kay tum zamin mein ba-aitbar barson ki ginti kiss qadar rahey?
वह कहेगाः “तुम धरती में कितने वर्ष रहे”?