It is He who enables you to travel on land and sea until, when you are in ships and they sail with them by a good wind and they rejoice therein, there comes a storm wind and the waves come upon them from everywhere and they assume that they are surrounded, supplicating Allah , sincere to Him in religion, "If You should save us from this, we will surely be among the thankful."
Aur Allah aisa hai kay tum ko khushki aur darya mein chalata hai yahan tak kay jab tum kashti mein hotay ho aur woh kashtiyan logon ko mowafiq hawa kay zariye ley ker chalti hain aur woh log inn say khush hotay hain inn per aik jhonka sakht hawa ka aata hai aur her taraf say unn per mojen uthti chali aati hain aur woh samajhtay hain kay ( buray ) aa ghiray ( ussa waqat ) sab khalis aetiqaad ker kay Allah hi ko pukartay hain kay agar tu hum ko iss say bacha ley to hum zaroor shukar guzaar bann jayen.
वह अल्लाह ही है जो तुमको ख़ुश्की और तरी में चलाता है; चुनाँचे जब तुम कश्ती में होते हो और कश्तियाँ लोगों को लेकर मुवाफ़िक़ हवा से चल रही होती हैं और लोग उससे ख़ुश होते हैं कि यकायक एक तेज़ हवा आती है और उन पर हर जानिब से मौजें उठने लगती हैं और वे गुमान कर लेते हैं कि हम घिर गए, उस वक़्त वे अपने दीन को अल्लाह ही के लिए ख़ालिस करके उसको पुकारने लगते हैं कि अगर आपने हमें इससे नजात दे दी तो यक़ीनन हम शुक्रगुज़ार बंदे बनेंगे।
[And said], "If you do good, you do good for yourselves; and if you do evil, [you do it] to yourselves." Then when the final promise came, [We sent your enemies] to sadden your faces and to enter the temple in Jerusalem, as they entered it the first time, and to destroy what they had taken over with [total] destruction.
Agar tum ney achay kaam kiye to khud apney hi faeeday kay liye aur agar tum ney buraiyan kin to bhi apney hi liye phir jab doosray waday ka waqt aaya ( to hum ney doosray bandon ko bhej diya takay ) woh tumharay chehray bigar den aur pehli dafa ki tarah phir ussi masjid mein ghuss jayen. Aur jiss jiss cheez per qaboo payen tor phor ker jarr say ukhar den.
अगर तुम अच्छे काम करोगे तो तुम अपने लिए अच्छा करोगे और अगर तुम बुरे काम करोगे तब भी अपने लिए बुरा करोगे, फिर जब दूसरे वादे का वक़्त आया तो हमने और बंदे भेजे कि वे तुम्हारे चेहरों को बिगाड़ दें और मस्जिद (बैतुल-मुक़द्दस) में घुस जाएं जिस तरह उसमें पहली बार घुसे थे और जिस चीज़ पर उनका ज़ोर चले उसको बरबाद कर दें।
Is He [not best] who guides you through the darknesses of the land and sea and who sends the winds as good tidings before His mercy? Is there a deity with Allah ? High is Allah above whatever they associate with Him.
Kiya woh jo tumhen khushki aur tari ki tareekiyon mein raah dikhata hai aur jo apni rehmat say pehlay hi khushkhabriyan denay wali hawayen chalata hai kiya Allah kay sath koi aur mabood bhi hai jinhen yeh shareek kertay hain unn sab say Allah buland-o-bala-tar hai.
या वह जो थल और जल के अँधेरों में तुम्हारा मार्गदर्शन करता है और जो अपनी दयालुता के आगे हवाओं को शुभ-सूचना बनाकर भेजता है? क्या अल्लाह के साथ कोई और प्रभु पूज्य है? उच्च है अल्लाह, उस शिर्क से जो वे करते हैं
Corruption has appeared throughout the land and sea by [reason of] what the hands of people have earned so He may let them taste part of [the consequence of] what they have done that perhaps they will return [to righteousness].
Khushki aur tari mein logon ki bad aemaaliyon kay baees fasad phel gaya. Iss liye kay unhen unn kay baaz kertooton ka phal Allah Taalaa chakha dey ( boht ) mumkin hai kay woh baaz aajayen.
थल और जल में बिगाड़ फैल गया स्वयं लोगों ही के हाथों की कमाई के कारण, ताकि वह उन्हें उन की कुछ करतूतों का मज़ा चखाए, कदाचित वे बाज़ आ जाएँ
And with Him are the keys of the unseen; none knows them except Him. And He knows what is on the land and in the sea. Not a leaf falls but that He knows it. And no grain is there within the darknesses of the earth and no moist or dry [thing] but that it is [written] in a clear record.
Aur Allah Taalaa hi kay pass hain ghaib ki kunjiyan ( khazaney ) inn ko koi nahi janta ba-juz Allah kay. Aur woh tamam cheezon ko janta hai jo kuch khushki mein hain aur jo kuch daryaon mein hain aur koi patta nahi girta magar woh iss ko bhi janta hai aur koi dana zamin kay tareek hisson mein nahi parta aur na koi tarr aur na koi khush cheez girti hai magar yeh sab kitab-e-mubeen mein hain.
और उसी के पास ग़ैब की कुंजियाँ हैं जिसे उसके सिवा कोई नहीं जानता, अल्लाह जानता है जो कुछ ख़ुश्की में और समुंदर में है, और दरख़्त से गिरने वाला कोई पत्ता ऐसा नहीं जिसका उसे इल्म न हो और ज़मीन की तारीकियों में कोई दाना नहीं गिरता और न कोई तर और ख़ुश्क चीज़ मगर सब एक खुली किताब में दर्ज है।