And [He created] the horses, mules and donkeys for you to ride and [as] adornment. And He creates that which you do not know.
Ghoron ko khacharon ko gadhon ko uss ney peda kiya kay tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat bhi hain. Aur bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka tumhen ilm bhi nahi.
और उसने घोड़े और ख़च्चर और गधे पैदा किए; ताकि तुम उन पर सवार हो और ज़ीनत के लिए भी, और वे ऐसी चीज़ें पैदा करता है जो तुम नहीं जानते।
And incite [to senselessness] whoever you can among them with your voice and assault them with your horses and foot soldiers and become a partner in their wealth and their children and promise them." But Satan does not promise them except delusion.
Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain.
उन में से जिस किसी पर तेरा बस चले उस के क़दम अपनी आवाज़ से उखाड़ दे। और उन पर अपने सवार और अपने प्यादे (पैदल सेना) चढ़ा ला। और माल और सन्तान में भी उन के साथ साझा लगा। और उन से वादे कर!" - किन्तु शैतान उन से जो वादे करता है वह एक धोखे के सिवा और कुछ भी नहीं होता। -
Beautified for people is the love of that which they desire - of women and sons, heaped-up sums of gold and silver, fine branded horses, and cattle and tilled land. That is the enjoyment of worldly life, but Allah has with Him the best return.
Marghoob cheezon ki mohabbat logon kay liye muzayyen ker di gaee hai jaisay aurten aur betay aur soney aur chandi kay jama kiye huye khazaney aur nishandaar ghoray aur chopaye aur kheti yeh duniya ki zidagi ka saman hai aur lotney ka acha thikana to Allah Taalaa hi kay pass hai.
लोगों के लिए ख़ुशनुमा कर दी गई है ख़्वाहिशों की मुहब्बत, औरतें और बेटे, सोने और चाँदी के ढेर, निशान लगे हुए घोड़े, और जानवर और खेती, ये सब दुनियावी ज़िंदगी के सामान हैं, और अल्लाह के पास अच्छा ठिकाना है।
[Mention] when there were exhibited before him in the afternoon the poised [standing] racehorses.
Jab unkay samney shaam kay waqt tez-ro khasay ghoray paish kiye gaye.
याद करो, जबकि सन्ध्या समय उस के सामने सधे हुए द्रुतगामी घोड़े हाज़िर किए गए
And what Allah restored [of property] to His Messenger from them - you did not spur for it [in an expedition] any horses or camels, but Allah gives His messengers power over whom He wills, and Allah is over all things competent.
Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
और अल्लाह ने उन से लेकर अपने रसूल की ओर जो कुछ पलटाया, उस के लिए न तो तुम ने घोड़े दौड़ाए और न ऊँट। किन्तु अल्लाह अपने रसूलों को जिस पर चाहता है प्रभुत्व प्रदान कर देता है। अल्लाह को तो हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है