Have you not considered how Allah presents an example, [making] a good word like a good tree, whose root is firmly fixed and its branches [high] in the sky?
Kiya aap ney nahi dekha kay Allah Taalaa ney pakeeza baat ki misal kiss tarah biyan farmaee misil aik pakeeza darakht kay jiss ki jarr mazboot hai aur jiss ki tehniyan aasman mein hain.
क्या आपने नहीं देखा कि किस तरह मिसाल बयान फ़रमाई है अल्लाह ने कलिमा तय्यबा की, वह एक पाकीज़ा दरख़्त की मानिंद है जिसकी जड़ ज़मीन में जमी हुई है और जिसकी टहनियाँ आसमान तक पहुँची हुई हैं।
It produces its fruit all the time, by permission of its Lord. And Allah presents examples for the people that perhaps they will be reminded.
Jo apney perwerdigar kay hukum say her waqt apney phal laata hai aur Allah Taalaa logon kay samney misalen biyan farmata hai takay woh nasheehat hasil keren.
वह हर वक़्त पर अपना फल देता है अपने रब के हुक्म से, और अल्लाह लोगों के लिए मिसालें बयान करता है; ताकि वह नसीहत हासिल करें।
And the example of a bad word is like a bad tree, uprooted from the surface of the earth, not having any stability.
Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi.
और कलिमा ख़बीसा की मिसाल एक ख़राब दरख़्त की सी है जो ज़मीन के ऊपर ही से उखाड़ लिया जाए कि उसमें ज़रा भी जमाव न हो।
Allah keeps firm those who believe, with the firm word, in worldly life and in the Hereafter. And Allah sends astray the wrongdoers. And Allah does what He wills.
Eman walon ko Allah Taalaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah behka deta hai aur Allah jo chahaye ker guzray.
अल्लाह वालों को एक पक्की बात से दुनिया और आख़िरत में मज़बूत करता है, और अल्लाह ज़ालिमों को भटका देता है, और अल्लाह करता है जो वह चाहता है।