And [beware the Day] when Allah will say, "O Jesus, Son of Mary, did you say to the people, 'Take me and my mother as deities besides Allah ?'" He will say, "Exalted are You! It was not for me to say that to which I have no right. If I had said it, You would have known it. You know what is within myself, and I do not know what is within Yourself. Indeed, it is You who is Knower of the unseen.
Aur woh waqt bhi qabil-e-ziker hai jab kay Allah Taalaa farmaye ga kay aey essa ibn-e-marium kiya tum ney inn logon say keh diya tha kay mujh ko aur meri maa ko bhi ilawa Allah kay mabood qarar dey lo! Essa arz keren gay kay mein to tujh ko munza samajhta hun mujh ko kissi tarah zeba na tha kay mein aisi baat kehta jiss ka kehney ka mujh ko koi haq nahi agar mein ney kaha hoga to tujh ko iss ka ilm hoga. Tu to meray dil kay andar ki baat bhi janta hai aur mein teray nafs mein jo kuch hai uss ko nahi janta. Tamam ghaibon ka jannay wala tu hi hai.
और जब अल्लाह पूछेगा कि ऐ ईसा बिन मरियम! क्या तुमने लोगों को कहा था कि मुझको और मेरी माँ को अल्लाह के सिवा माबूद बना लो? वे जवाब देंगे कि (ऐ रब) आप तो पाक हैं, मेरा यह काम न था कि मैं वह बात कहूँ जिसका मुझे कोई हक़ नहीं, अगर मैंने यह कहा होगा तो आपको ज़रूर मालूम होगा, आप जानते हैं जो मेरे जी में है और मैं नहीं जानता जो आपके जी में है, बेशक आप ही तो छुपी बातों को जानने वाले हैं।
And when Our verses are recited to them as clear evidences, those who do not expect the meeting with Us say, "Bring us a Qur'an other than this or change it." Say, [O Muhammad], "It is not for me to change it on my own accord. I only follow what is revealed to me. Indeed I fear, if I should disobey my Lord, the punishment of a tremendous Day."
Aur jab inn kay samney humari aayaten parhi jati hain jo bilkul saaf saaf hain to yeh log jin ko humaray pass aaney ki umeed nahi hai yun kehtay hain kay iss kay siwa koi doosra quran layiye ya iss mein kuch tarmeem ker dijiye. Aap keh dijiye kay mujhay yeh haq nahi kay mein apni taraf say iss mein tarmeem kerdoon bus mein to issi ki ittabaa keroon ga jo meray pass wahee kay zariye say phoncha hai agar mein apney rab ki na farmani keroon to mein aik baray din kay azab ka andesha rakhta hun.
और जब उनको हमारी खुली हुई आयतें पढ़कर सुनाई जाती हैं तो जिन लोगों को हमारे पास आने की उम्मीद नहीं है वे कहते हैं कि इसके सिवा कोई और क़ुरआन लाओ या इसको बदल दो, आप कह दीजिए कि मेरा यह काम नहीं कि मैं अपने जी से इसको बदल दूँ, मैं तो सिर्फ़ उस वह्य की पैरवी करता हूँ जो मेरे पास आती है, अगर मैं अपने रब की नाफ़रमानी करूँ तो मैं एक बड़े दिन के अज़ाब से डरता हूँ।
So when they had despaired of him, they secluded themselves in private consultation. The eldest of them said, "Do you not know that your father has taken upon you an oath by Allah and [that] before you failed in [your duty to] Joseph? So I will never leave [this] land until my father permits me or Allah decides for me, and He is the best of judges.
Jab yeh iss say mayus hogaye to tanahee mein beth ker mashwara kerney lagay. Inn mein jo sab say bara tha uss ney kaha tumhen maloom nahi kay tumharay walid ney tum say Allah ki qasam ley ker pukhta qol-o-qarar liya hai aur iss say pehlay yousuf kay baray mein tum kotahi ker chukay ho. Pus mein to iss sir zamin say na taloo ga jabtak walid shab khud mujhay ijazat na den ya Allah Taalaa meray iss moamlay ka faisla ker den wohi behtareen faisla kerney wala hai.
जब वे उससे ना-उम्मीद हो गए तो अलग होकर आपस में मशवरा करने लगे, उनके बड़े ने कहाः क्या तुमको मालूम नहीं कि तुम्हारे वालिद ने तुमसे अल्लाह के नाम पर पक्का इक़रार लिया और इससे पहले यूसुफ़ के मामले में जो ज़्यादती तुम कर चुके हो वह भी तुमको मालूम है, पस मैं इस ज़मीन से हरगिज़ नहीं टलूँगा जब तक कि मेरे वालिद मुझे इजाज़त न दें या अल्लाह मेरे लिए कोई फ़ैसला न फ़रमा दे, और वह सबसे बेहतर फ़ैसला करने वाला है।
And ease for me my task
Aur meray kaam ko mujh per aasan ker dey.
और मेरे काम को मेरे लिए आसान कर दे
And O my people, how is it that I invite you to salvation while you invite me to the Fire?
Aey meri qom! Yeh kiya baat hai kay mein tumhen nijat ki taraf bula raha hun aur tum mujhay dizakh ki taraf bula rahey ho.
ऐ मेरी क़ौम के लोगो! यह मेरे साथ क्या मामला है कि मैं तो तुम्हें मुक्ति की ओर बुलाता हूँ और तुम मुझे आग की ओर बुला रहे हो?