And they did not appraise Allah with true appraisal when they said, " Allah did not reveal to a human being anything." Say, "Who revealed the Scripture that Moses brought as light and guidance to the people? You [Jews] make it into pages, disclosing [some of] it and concealing much. And you were taught that which you knew not - neither you nor your fathers." Say, " Allah [revealed it]." Then leave them in their [empty] discourse, amusing themselves.
Aur inn logon ney Allah ki jaisi qadar kerna wajib thi wesi qadar na ki jab kay yun keh diya kay Allah ney kiss bashar per koi cheez nazil nahi ki aap yeh kahiye kay woh kitab kiss ney nazil ki hai jiss ko musa laye thay jiss ki keyfiyat yeh hai kay woh noor hai aur logon kay liye woh hidayat hai jiss ko tum ney inn mutafarriq oraaq mein rakh chora hai jin ko zahir kertay ho aur boht si baaton ko chupatay ho aur tum ko boht si aisi baaten bataee gaee hain jin ko na tum jantay thay aur na tumharay baray. Aap keh dijiye kay Allah ney nazil farmaya hai phir inn ko inn kay kharafaat mein kheltay rehney dijiye.
और उन्होंने अल्लाह के बारे में बहुत ग़लत अंदाज़ा लगाया जब उन्होंने कहा कि अल्लाह ने किसी इंसान पर कोई चीज़ नहीं उतारी, आप कह दीजिए कि वह किताब किसने उतारी थी जिसको लेकर मूसा आए थे जो रौशन थी और रहनुमाई (का ज़रिया) थी लोगों के वास्ते, जिसको तुमने वर्क़-वर्क़ कर रखा है उनमें से कुछ को ज़ाहिर करते हो और बहुत कुछ छुपा जाते हो, और तुमको वे बातें सिखाई गईं जिनको न तुम जानते थे और न तुम्हारे बाप-दादा, कह दीजिए कि अल्लाह ने उतारी, फिर उनको उनके हाल पर छोड़ दीजिए कि वे अपनी बेहूदा गुफ़्तगू में मशग़ूल रह कर दिल्लगी करते हैं।
Then We gave Moses the Scripture, making complete [Our favor] upon the one who did good and as a detailed explanation of all things and as guidance and mercy that perhaps in [the matter of] the meeting with their Lord they would believe.
Phir hum ney musa ( alh-e-salam ) ko kitab di thi jiss say achi tarah amal kerney walon per nemat poori ho aur sab ehkaam ki tafseel hojaye aur rehnumaee ho aur rehmat ho takay woh log apney rab kay milney per yaqeen layen.
फिर हमने मूसा (अलै॰) को किताब दी नेक काम करने वालों पर अपनी नेमत पूरी करने के लिए और हर बात की तफ़सील और हिदायत और रहमत; ताकि वे अपने रब से मुलाक़ात का यक़ीन करें।
There was certainly in their stories a lesson for those of understanding. Never was the Qur'an a narration invented, but a confirmation of what was before it and a detailed explanation of all things and guidance and mercy for a people who believe.
Unn kay biyan mein aqal walon kay liye yaqeenan naseehat aur ibrat hai yeh quran jhoot banaee hui baat nahi bulkay yeh tasdeeq hai unn kitabon ki jo iss say pehlay ki hain khol khol ker biyan kerney wala hai her cheez ko aur hidayat ko aur rehmat hai eman daar logon kay liye.
उनके क़िस्सों में समझदार लोगों के लिए बड़ी इबरत है, यह कोई घड़ी हुई बात नहीं बल्कि तसदीक़ है उस चीज़ की जो इससे पहले मौजूद है और तफ़सील है हर चीज़ की और हिदायत और रहमत है ईमान वालों के लिए।
And [mention] the Day when We will resurrect among every nation a witness over them from themselves. And We will bring you, [O Muhammad], as a witness over your nation. And We have sent down to you the Book as clarification for all things and as guidance and mercy and good tidings for the Muslims.
Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri say musalmanon kay liye.
और जिस दिन हम हर उम्मत में एक गवाह उन्हीं में से उठाएंगे और आपको उन लोगों पर गवाह बनाकर लाएंगे, और हमने आप पर किताब उतारी है हर चीज़ को खोल देने के लिए, वह हिदायत और रहमत और बशारत है फ़रमाँबरदारों के लिए।