And it is He who has made you successors upon the earth and has raised some of you above others in degrees [of rank] that He may try you through what He has given you. Indeed, your Lord is swift in penalty; but indeed, He is Forgiving and Merciful.
Aur woh aisa hai jiss ney tum ko zamin mein khalifa banaya aur aik ka doosray per rutba barhaya takay tum ko aazmaye unn cheezon mein jo tum ko di hain. Bil yaqeen aap ka rab jald saza denay wala hai aur bil yaqeen woh waqaee bari maghfirat kerney wala meharbani kerney wala hai.
और वही है जिसने तुम्हें ज़मीन में एक-दूसरे का जानशीन बनाया और तुम में से एक का रुतबा दूसरे पर बुलंद किया; ताकि वह आज़माए तुमको अपने दिए हुए में, आपका रब जल्द सज़ा देने वाला और बेशक वह बख़्शने वाला, मेहरबान है।
Then We made you successors in the land after them so that We may observe how you will do.
Phir unn kay baad hum ney duniya mein bajaye unn kay tum ko janasheen kiya takay hum dekh len kay tum kiss tarah kaam kertay ho.
फिर हमने उनके बाद तुमको मुल्क में जानशीन बनाया; ताकि हम देखें कि तुम कैसा अमल करते हो।
And they denied him, so We saved him and those with him in the ship and made them successors, and We drowned those who denied Our signs. Then see how was the end of those who were warned.
So woh log inn ko jhutlatay rahey pus hum ney inn ko aur jo inn kay sath kashti mein thay unn ko nijat di aur unn ko janasheen banaya aur jinhon ney humari aayaton ko jhutlaya tha unn ko gharq ker diya. So dekhna chahaiye kaisa anjam hua unn logon ka jo daraye jaa chukay thay.
फिर उन्होंने उसको झुठला दिया तो हमने नूह (अलै॰) को और जो लोग उसके साथ कश्ती में थे नजात दी और उनको जानशीन बनाया, और उन लोगों को डुबो दिया जिन्होंने हमारी निशानियों को झुठलाया था, देखिए कि क्या अंजाम हुआ उनका जिनको डराया गया था।
It is He who has made you successors upon the earth. And whoever disbelieves - upon him will be [the consequence of] his disbelief. And the disbelief of the disbelievers does not increase them in the sight of their Lord except in hatred; and the disbelief of the disbelievers does not increase them except in loss.
Wohi aisa hai jiss ney tum ko zamin mein aabad kiya so jo shaks kufur keray ga uss kay kufur ka wabaal ussi per paray ga. Aur kafiron kay liye unn ka kufur unn kay perwerdigar kay nazdeek narazi hi barhaney ka baees hota hai aur kafiron kay liye unn ka kufur khasarah hi barhney ka baees hota hai.
वही तो है जिस ने तुम्हे धरती में ख़लीफ़ा बनाया। अब जो कोई इनकार करेगा, उस के इनकार का वबाल उसी पर है। इनकार करने वालों का इनकार उन के रब के यहाँ केवल प्रकोप ही को बढ़ाता है, और इनकार करने वालों का इनकार केवल घाटे में ही अभिवृद्धि करता है