And there entered the prison with him two young men. One of them said, "Indeed, I have seen myself [in a dream] pressing wine." The other said, "Indeed, I have seen myself carrying upon my head [some] bread, from which the birds were eating. Inform us of its interpretation; indeed, we see you to be of those who do good."
Uss kay sath do aur jawan bhi qaid khanay mein dakhil huye inn mein say aik ney kaha kay mein ney khuwab mein apney aap ko sharab nichortay dekha hai aur doosray ney kaha mein ney apney aap ko dekha hai kay mein apney sir per roti uthaye huye hun jisay parinday kha rahey hain humen aap iss ki tabeer batiye humen to aap khoobiyon walay shaks dikhaee detay hain.
और क़ैदख़ाने में उसके साथ दो और नौजवान दाख़िल हुए, उनमें से एक ने (एक रोज़) कहा कि मैं ख़्वाब में देखता हूँ कि मैं शराब निचोड़ रहा हूँ, और दूसरे ने कहा कि मैं ख़्वाब में देखता हूँ कि अपने सर पर रोटी उठाए हुए हूँ जिसमें से चिड़ियाँ खा रही हैं, हमको इसकी ताबीर बताओ, हम देखते हैं कि तुम नेक लोगों में से हो।
He said, "You will not receive food that is provided to you except that I will inform you of its interpretation before it comes to you. That is from what my Lord has taught me. Indeed, I have left the religion of a people who do not believe in Allah , and they, in the Hereafter, are disbelievers.
Yousuf ney kaha tumhen jo khana diya jata hai uss kay tumharay pass phonchney say pehlay hi mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga. Yeh sab uss ilm ki badolat hai jo mujhay meray rab ney sikhaya hai mein ney unn logon ka mazhab chor diya hai jo Allah per eman nahi rakhtay aur aakhirat kay bhi munkir hain.
यूसुफ़ (अलै॰) ने कहाः जो खाना तुमको मिलता है उसके आने से पहले मैं तुम्हें इन ख़्वाबों की ताबीर बता दूँगा, यह उस इल्म में से है जो मेरे रब ने मुझे सिखाया है, मैंने उन लोगों के मज़हब को छोड़ा जो अल्लाह पर ईमान नहीं लाते और वे लोग आख़िरत के मुनकिर हैं।
But the one who was freed and remembered after a time said, "I will inform you of its interpretation, so send me forth."
Unn do qadiyon mein say jo raha hua tha ussay muddat kay baad yaad aagaya aur kehney laga mein tumhen iss ki tabeer batla doon ga mujhay janay ki ijazat dijiye.
उन दो क़ैदियों में से जो शख़्स बच गया था और उसको एक मुद्दत के बाद याद आया, उसने कहा कि मैं तुम लोगों को इसकी ताबीर बताऊँगा पस मुझको (यूसुफ़ के पास) जाने दो।