And He taught Adam the names - all of them. Then He showed them to the angels and said, "Inform Me of the names of these, if you are truthful."
Aur Allah Taalaa ney aadam ko tamam naam sikha ker unn cheezon ko farishton kay samney paish kiya aur farmaya agar tum sachay ho to inn cheezon kay naam batao.
और अल्लाह ने सिखा दिए आदम को सारे नाम फिर उनको फ़रिश्तों के सामने पेश किया और कहा कि अगर तुम सच्चे हो तो मुझे इन चीज़ों के नाम बताओ।
Then, you are those [same ones who are] killing one another and evicting a party of your people from their homes, cooperating against them in sin and aggression. And if they come to you as captives, you ransom them, although their eviction was forbidden to you. So do you believe in part of the Scripture and disbelieve in part? Then what is the recompense for those who do that among you except disgrace in worldly life; and on the Day of Resurrection they will be sent back to the severest of punishment. And Allah is not unaware of what you do.
Lekin phir bhi tum ney aapas mein qatal kiya aur aapas kay aik firqay ko jila watan bhi kiya aur gunah aur ziyadti kay kaamon mein inn kay khilaf doosray ki taraf daari ki haan woh jab qaidi ho ker tumharay pass aaye to tum ney unn kay fidye diye lekin inn ka nikalna jo tum per haram tha ( uss ka kuch khayal na kiya ) kiya baaz ehkaam per eman rakhtay ho aur baaz kay sath kufur kertay ho? Tum mein say jo bhi aisa keray uss ki saza iss kay siwa kiya ho kay duniya mein ruswaee aur qayamat kay din sakht azab ki maar aur Allah Taalaa tumharay aemaal say bey khabar nahi.
फिर तुम ही वे लोग हो कि अपनों को क़त्ल करते हो और अपने ही एक गिरोह को उनकी बस्तियों से निकालते हो, तुम उनके मुक़ाबले में उनके दुश्मनों की मदद करते हो गुनाह और ज़ुल्म के साथ, फिर अगर वे तुम्हारे पास क़ैद होकर आते हैं तो तुम फ़िदया देकर उनको छुड़ाते हो; हालाँकि ख़ुद उनका निकालना तुम्हारे ऊपर हराम था, क्या तुम किताबे-इलाही के एक हिस्से को मानते हो और एक हिस्से का इनकार करते हो, पस तुम में से जो लोग ऐसा करें उनकी सज़ा इसके सिवा क्या है कि उनको दुनिया की ज़िंदगी में रुसवाई मिले, और क़यामत के दिन उनको सख़्त अज़ाब में डाल दिया जाए, और अल्लाह उस चीज़ से बेख़बर नहीं जो तुम कर रहे हो।
Here you are - those who have argued about that of which you have [some] knowledge, but why do you argue about that of which you have no knowledge? And Allah knows, while you know not.
Suno! Tum uss mein jhagar chukay jiss ka tumhen ilm tha phir abb iss baat mein kiyon jhagartay ho jiss ka tumhen ilm hi nahi? Aur Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay.
तुम ही वे लोग हो कि तुम उस बात के बारे में झगड़ चुके जिसका तुम्हें कुछ इल्म था, पस अब तुम ऐसी बात में क्यों झगड़ते हो जिसका तुम्हे कोई इल्म नहीं, और अल्लाह जानता है जबकि तुम नहीं जानते।
[Remember] when the hypocrites and those in whose hearts was disease said, "Their religion has deluded those [Muslims]." But whoever relies upon Allah - then indeed, Allah is Exalted in Might and Wise.
Jabkay munafiq keh rahey thay aur woh bhi jin kay dilon mein rog tha kay enhen to inn kay deen ney dhokay mein daal diya hai jo bhi Allah per bharosa keray Allah Taalaa bila shak-o-shuba ghalbay wala aur hikmat wala hai.
जब मुनाफ़िक़ और जिनके दिलों में रोग है कहते थे कि इन लोगों को उनके दीन ने धोखे में डाल दिया है, और जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह बड़ा ज़बरदस्त है, हिकमत वाला है।