And give the relative his right, and [also] the poor and the traveler, and do not spend wastefully.
Aur rishtay daaron ka aur miskeenon aur musafiron ka haq ada kertay raho aur israaf aur bey jaa kharch say bacho.
और रिश्तेदार को उसका हक़ दीजिए और मिस्कीन को और मुसाफ़िर को और फ़ज़ूल-ख़र्ची न करें।
And [recall] when We took the covenant from the Children of Israel, [enjoining upon them], "Do not worship except Allah ; and to parents do good and to relatives, orphans, and the needy. And speak to people good [words] and establish prayer and give zakah." Then you turned away, except a few of you, and you were refusing.
Aur jab hum ney bani israeel say wada liya kay tum Allah Taalaa kay siwa doosray ki ibadat na kerna aur maa baap kay sath acha sulook kerna issi tarah qarabat daron yateemon aur miskeenon kay sath aur logon ko achi baaten kehna namazen qaeem rakhna aur zakat detay raha kerna lekin thoray say logon kay ilawa tum sab phir gaye aur mun mor liya.
और जब हमने बनी-इस्राईल से अहद लिया, कि तुम अल्लाह के सिवा किसी की इबादत न करोगे और नेक सलूक करोगे माँ-बाप के साथ, क़राबतदारों के साथ, यतीमों और मिस्कीनों के साथ और यह कि लोगों से अच्छी बात कहो, और नमाज़ क़ायम करो और ज़कात अदा करो, फिर तुम उससे फिर गए सिवा थोड़े लोगों के, और तुम इक़रार करके उससे हट जाने वाले लोग हो।
And let not those of virtue among you and wealth swear not to give [aid] to their relatives and the needy and the emigrants for the cause of Allah , and let them pardon and overlook. Would you not like that Allah should forgive you? And Allah is Forgiving and Merciful.
Tum mein say jo buzurgi aur kushadgi walay hain unhen apnay qarabat daron aur miskeeno aur mohajiron ko fi sabeelillah denay say qasam na kha leni chahaye bulkay moaf ker dena aur dar-guzar ker lena chahaye. Kiya tum nahi chahtay kay Allah Taalaa tumharay qasoor moaf farma dey? Allah qasooron ko moaf farmaney wala meharban hai.
तुम में जो बड़ाई वाले और सामर्थ्यवान है, वे नातेदारों, मुहताजों और अल्लाह की राह में घरबार छोड़ने वालों को देने से बाज़ रहने की क़सम न खा बैठें। उन्हें चाहिए कि क्षमा कर दें और उन से दर-गुज़र करें। क्या तुम यह नहीं चाहते कि अल्लाह तुम्हें क्षमा करें? अल्लाह बहुत क्षमाशील,अत्यन्त दयावान है
Worship Allah and associate nothing with Him, and to parents do good, and to relatives, orphans, the needy, the near neighbor, the neighbor farther away, the companion at your side, the traveler, and those whom your right hands possess. Indeed, Allah does not like those who are self-deluding and boastful.
Aur Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss kay sath kissi ko shareek na kero aur maa baap kay sath salook-o-ehsan kero aur rishtay daron say aur yateemon say aur miskeenon say aur qarabat daar humsaya say aur ajnabi humsaya say aur pehloo kay sathi say aur raah kay musafir say aur unn say jin kay maalik tumharay haath hain ( ghulam kaneez ) yaqeenan Allah Taalaa takabbur kerney walon aur shekhi khoron ko pasand nahi farmata.
और अल्लाह की इबादत करो और किसी चीज़ को उसका शरीक न बनाओ, और माँ-बाप के साथ अच्छा सलूक करो और रिश्तेदारों के साथ और यतीमों और मुहताजों और रिश्तेदार पड़ोसी और अजनबी पड़ोसी और साथ उठने बैठने वाले और मुसाफ़िर के साथ और जिनके तुम मालिक हो (उनके साथ), बेशक अल्लाह पसंद नहीं करता इतराने वाले, बड़ाई जताने वाले को।