And the example of a bad word is like a bad tree, uprooted from the surface of the earth, not having any stability.
Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaar liya gaya. Issay kuch sabaat to hai hi nahi.
और कलिमा ख़बीसा की मिसाल एक ख़राब दरख़्त की सी है जो ज़मीन के ऊपर ही से उखाड़ लिया जाए कि उसमें ज़रा भी जमाव न हो।
And those who disbelieved will be driven to Hell in groups until, when they reach it, its gates are opened and its keepers will say, "Did there not come to you messengers from yourselves, reciting to you the verses of your Lord and warning you of the meeting of this Day of yours?" They will say, "Yes, but the word of punishment has come into effect upon the disbelievers.
Kafiron kay ghol kay ghol jahannum ki taraf hankaye jayen gay jab woh uss kay pass phonch jayen gay uss kay darwazay unn kay liye khol diye jayen gay aur wahan kay nigehbaan unn say sawal keren gay kay kiya tumharay pass tum mein say rasool nahi aaye thay? Jo tum per tumharay rab ki aayaten parhtay thay aur tumhen uss din ki mulaqat say daratay thay? Yeh jawab den gay kay haan durust hai lekin azab ka hukum kafiron per sabit hogaya.
जिन लोगों ने इनकार किया, वे गिरोह के गिरोह जहन्नम की ओर ले जाए जाएँगे, यहाँ तक कि जब वे वहाँ पहुँचेंगे तो उस के द्वार खोल दिए जाएँगे और उस के प्रहरी उन से कहेंगे, "क्या तुम्हारे पास तुम्हीं में से रसूल नहीं आए थे जो तुम्हें तुम्हारे रब की आयतें सुनाते रहे हों और तुम्हें इस दिन की मुलाक़ात से सचेत करते रहे हों?" वे कहेंगे, "क्यों नहीं (वे तो आए थे) ।" किन्तु इनकार करने वालों पर यातना की बात सत्यापित होकर रही
Among the Jews are those who distort words from their [proper] usages and say, "We hear and disobey" and "Hear but be not heard" and "Ra'ina," twisting their tongues and defaming the religion. And if they had said [instead], "We hear and obey" and "Wait for us [to understand]," it would have been better for them and more suitable. But Allah has cursed them for their disbelief, so they believe not, except for a few.
Baaz yahud kalmaat ko unn ki theek jagah say hair pher ker detay hain aur kehtay hain kay hum ney suna aur na farmani ki aur sunn iss kay baghair kay tu suna jaye aur humari riyayat ker! ( lekin iss kay kehney mein ) apni zaban ko paich detay hain aur deen mein taana detay hain aur agar yeh log kehtay kay hum ney suna aur hum ney farmanbardari ki aur aap suniye aur humen dekhiye to yeh inn kay liye boht behtar aur nihayat hi munasib tha lekin Allah Taalaa ney inn kay kufur ki waja say enhen laanat ki hai. Pus yeh boht hi kum eman latay hain.
यहूद में से एक गिरोह बात को उसके ठिकाने से हटा देता है और कहता है कि हमने सुना लेकिन उसे नहीं माना, और कहते हैं कि सुनो और तुम्हें सुनवाया न जाए, वह अपनी जु़बान को मोड़ कर कहते हैं (राअि़ना) दीन में ऐब लगाने के लिए, हालाँकि अगर वे कहते कि हमने सुना और हमने मान लिया और सुनो और हम पर नज़र करो तो यह उनके हक़ में ज़्यादा बेहतर और दुरुस्त होता, मगर अल्लाह ने उनके इनकार की वजह से उनपर लानत कर दी, पस वे ईमान न लाएंगे मगर बहुत कम।
And thus We have made for every prophet an enemy - devils from mankind and jinn, inspiring to one another decorative speech in delusion. But if your Lord had willed, they would not have done it, so leave them and that which they invent.
Aur issi tarah say hum ney her nabi kay dushman boht say shetan peda kiya thay kuch aadmi aur kuch jinn, jin mein say baaz baazon ko chikni chupri baaton ka waswasa daaltay rehtay thay takay unn ko dhokay mein daal den aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aisay kaam na ker saktay so inn logon ko aur jo kuch yeh iftra perdaazi ker rahey hain uss ko aap rehney dijiye.
और इसी तरह हमने शरीर इंसानों और शरीर जिन्नात को हर नबी का दुश्मन बना दिया, वे एक-दूसरे को पुर-फ़रेब बातें सिखाते हैं धोका देने के लिए, और अगर आपका रब चाहता तो वे ऐसा न कर सकते, पस आप उन्हें छोड़ दें कि वे झूठ बाँधते हैं।
How [can there be a treaty] while, if they gain dominance over you, they do not observe concerning you any pact of kinship or covenant of protection? They satisfy you with their mouths, but their hearts refuse [compliance], and most of them are defiantly disobedient.
Unn kay wadon ka kiya aitbaar unn ka agar tum per ghalba hojaye to na yeh qarabat daari ka khayal keren na ehad-o-paymaan ka apni zabanon say to tumhen parcha rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay inn mein say aksar to fasiq hain.
कैसे अहद रहेगा जबकि यह हाल है कि अगर वे तुम्हारे ऊपर क़ाबू पा जाएं तो तुम्हारे बारे में न क़राबत का लिहाज़ करें और न अहद का, वे तुमको अपने मुँह की बात से राज़ी करना चाहते हैं मगर उनके दिल इनकार करते हैं, और उनमें अकसर बद-अहद हैं।