And incite [to senselessness] whoever you can among them with your voice and assault them with your horses and foot soldiers and become a partner in their wealth and their children and promise them." But Satan does not promise them except delusion.
Inn mein say tu jissay bhi apni aawaz say behka sakay behka ley aur inn per apney sawar aur piyaday charha laa aur inn kay maal aur aulad mein say apna bhi sajha laga aur enhen jhootay waday dey ley. Inn say jitney bhi waday shetan kay hotay hain sab kay sab sirasir fareb hain.
उन में से जिस किसी पर तेरा बस चले उस के क़दम अपनी आवाज़ से उखाड़ दे। और उन पर अपने सवार और अपने प्यादे (पैदल सेना) चढ़ा ला। और माल और सन्तान में भी उन के साथ साझा लगा। और उन से वादे कर!" - किन्तु शैतान उन से जो वादे करता है वह एक धोखे के सिवा और कुछ भी नहीं होता। -
Every soul will taste death, and you will only be given your [full] compensation on the Day of Resurrection. So he who is drawn away from the Fire and admitted to Paradise has attained [his desire]. And what is the life of this world except the enjoyment of delusion.
Her jaan maut ka maza chakhney wali hai aur qayamat kay din tum apney badlay pooray pooray diye jao gay pus jo shaks aag say hata diya jaye aur jannat mein dakhil ker diya jaye be-shak woh kaamyaab hogaya aur duniya ki zindagi to sirf dhokay ki jinss hai.
हर शख़्स को मौत का मज़ा चखना है, और तुमको पूरा-पूरा अज्र तो बस क़यामत के दिन मिलेगा, पस जो शख़्स आग से बचा लिया जाए और जन्नत में दाख़िल किया जाए वही कामयाब रहा, और दुनिया की ज़िंदगी तो बस धोके का सौदा है।
And if they deny you, [O Muhammad] - already were messengers denied before you. And to Allah are returned [all] matters.
Aur gar yeh aap ko jhutlayen to aap say pehlay kay tamam rasool bhi jhutlaye ja chukay hain. Tamam kaam Allah hi ki taraf lotaye jatay hain.
और यदि वे तुम्हें झुठलाते तो तुम से पहले भी कितने ही रसूल झुठलाए जा चुके हैं। सारे मामले अल्लाह ही की ओर पलटते हैं
And for you is half of what your wives leave if they have no child. But if they have a child, for you is one fourth of what they leave, after any bequest they [may have] made or debt. And for the wives is one fourth if you leave no child. But if you leave a child, then for them is an eighth of what you leave, after any bequest you [may have] made or debt. And if a man or woman leaves neither ascendants nor descendants but has a brother or a sister, then for each one of them is a sixth. But if they are more than two, they share a third, after any bequest which was made or debt, as long as there is no detriment [caused]. [This is] an ordinance from Allah , and Allah is Knowing and Forbearing.
Tumhari biwiyan jo kuch chor maren aur unn ki aulad na ho to aadhon aadh tumhara hai aur agar unn ki aulad ho to unn kay choray huye maal say tumharay liye chothaee hissa hai. Uss wasiyat ki adaayegi kay baad jo woh ker gaee hon ya qarz kay baad. Aur jo ( tarka ) tum chor jao uss mein unn kay liye aik chothaee hai agar tumhari aulad na ho aur agar tumhari aulad ho to phir unhen tumharay tarkay ka aathwan hissa milay ga uss wasiyat kay baad jo tum ker gaye ho aur qarz ki adaayegi kay baad. Aur jin ki meerass li jati hai woh mard ya aurat kalala ho yani uss ka baap beta na ho aur uss ka aik bhai ya aik behan ho to inn dono mein say her aik ka chatha hissa hai aur agar iss say ziyada hon to aik tehaee mein sab shareek hain uss wasiyat kay baad jo ki jaye aur qarz kay baad jabkay auron ka nuksan na kiya gaya ho yeh muqarrar kiya hua Allah Taalaa ki taraf say hai aur Allah Taalaa daana hai burdbaar.
और तुम्हारे लिए उस माल का आधा हिस्सा है जो तुम्हारी बीवियाँ छोड़ें उस वक़्त जबकि उनकी औलाद न हों, और अगर उनकी औलाद हो तो तुम्हारे लिए बीवियों के तर्के का चैथाई हिस्सा है वसीयत पूरी करने के बाद जिस की वह वसीयत कर जाएं या क़र्ज़ अदा करने के बाद, और उन बीवियों के लिए चैथाई है तुम्हारे तर्के का अगर तुम्हारी औलाद नहीं है, और अगर तुम्हारी औलाद है तो उनके लिए आठवाँ हिस्सा है तुम्हारे तर्के का उस वसीयत के पूरा करने के बाद जिसे तुम कर जाओ या क़र्ज़ अदा करने के बाद, और अगर कोई मय्यत मर्द या औरत ऐसा हो कि उसके न ऊपर वाले रिश्तेदार हों न नीचे वाले और उसका एक भाई या एक बहन हो तो दोनों में से हर एक के लिए छठा हिस्सा है, और अगर वे उससे ज़ायद हों तो वे एक-तिहाई में शरीक होंगे वसीयत पूरी करने के बाद जिसकी वसीयत की गई हो या क़र्ज अदा करने के बाद, बग़ैर किसी को नुक़सान पहुँचाए, यह हुक्म अल्लाह की तरफ़ से है और अल्लाह जानने वाला, बुर्दबार है।
His is the dominion of the heavens and earth. He gives life and causes death, and He is over all things competent.
Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez per qadir hai.
आकाशों और धरती की बादशाही उसी की है। वही जीवन प्रदान करता है और मृत्यु देता है, और उसे हर चीज़ की सामर्थ्य प्राप्त है
And the worldly life is not but amusement and diversion; but the home of the Hereafter is best for those who fear Allah , so will you not reason?
Aur dunyawi zindagi to kuch bhi nahi ba-juz lahoo-o-laab kay. Aur daar-e-aakhirat mutaqqiyon kay liye behtar hai. Kiya tum sochtay samajhtay nahi ho.
और दुनिया की ज़िंदगी तो बस एक खेल-तमाशा है, और आख़िरत का घर बेहतर है उन लोगों के लिए जो तक़वा रखते हैं, क्या तुम नहीं समझते।