And thus we have made you a just community that you will be witnesses over the people and the Messenger will be a witness over you. And We did not make the qiblah which you used to face except that We might make evident who would follow the Messenger from who would turn back on his heels. And indeed, it is difficult except for those whom Allah has guided. And never would Allah have caused you to lose your faith. Indeed Allah is, to the people, Kind and Merciful.
Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool ( PBUH ) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai ( unn per koi mushkil nahi ) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai.
और इस तरह हमने तुमको बीच की उम्मत बना दिया, ताकि तुम गवाह रहो लोगों पर और रसूल रहे तुम पर गवाह, और जिस क़िबले पर तुम थे हमने उसको सिर्फ़ इसलिए मुतअय्यन किया था ताकि हम जान लें कि कौन रसूल की पैरवी करता है और कौन उससे उलटे पाँव फिर जाता है, और बेशक यह बात भारी है मगर उन लोगों पर जिनको अल्लाह ने हिदायत दी, और अल्लाह ऐसा नहीं कि तुम्हारे ईमान को ज़ाया कर दे, बेशक अल्लाह लोगों के साथ शफ़क़त करने वाला मेहरबान है।
And of the people is he who sells himself, seeking means to the approval of Allah . And Allah is kind to [His] servants.
Aur baaz log woh bhi hai jo Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein apni jaan tak baich detay daltay hain aur Allah Taalaa apney bandon per bari meharbani kerney wala hai.
और लोगों में कोई है कि अल्लाह की ख़ुशी की तलाश में अपनी जान को बेच देता है, और अल्लाह अपने बंदों पर निहायत मेहरबान है।
The Day every soul will find what it has done of good present [before it] and what it has done of evil, it will wish that between itself and that [evil] was a great distance. And Allah warns you of Himself, and Allah is Kind to [His] servants."
Jiss din her nafss ( shaks ) apni ki hui nekiyon ko aur apni ki hui buraiyon ko mojood paa ley ga aarzoo keray ga kay kaash! Uss kay aur buraiyon kay darmiyan boht hi doori hoti. Allah Taalaa tumhen apni zaat say dara raha hai aur Allah Taalaa apney bandon per bara hi meharban hai.
जिस दिन हर शख़्स अपनी की हुई नेकी को अपने सामने मौजूद पाएगा, और जो बुराई की होगी उसको भी, उस दिन हर शख़्स यह तमन्ना करेगा कि काश! अभी यह दिन उससे बहुत दूर होता, और अल्लाह तुमको डराता है अपनी ज़ात से, और अल्लाह अपने बंदों पर बहुत मेहरबान है।
Allah has already forgiven the Prophet and the Muhajireen and the Ansar who followed him in the hour of difficulty after the hearts of a party of them had almost inclined [to doubt], and then He forgave them. Indeed, He was to them Kind and Merciful.
Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai.
बेशक अल्लाह ने नबी पर और मुहाजिरीन व अंसार पर तवज्जोह फ़रमाई जिन्होंने तंगी के वक़्त में नबी का साथ दिया, बाद इसके कि उनमें से कुछ लोगों के दिल कजी की तरफ़ माइल हो चुके थे, फिर अल्लाह ने उन पर तवज्जोह फ़रमाई, बेशक अल्लाह उन पर मेहरबान है, रहम करने वाला है।