And We did certainly send Moses with Our signs and a clear authority
Aur hum ney musa ( alh-e-salam ) ko apni aayaton aur khulli daleelon kay sath bheja.
और हम ने मूसा को भी अपनी निशानियों और स्पष्ट प्रमाण के साथ
To Pharaoh, Haman and Qarun; but they said, "[He is] a magician and a liar."
Firaon hamaan aur qaroon ki taraf to unhon ney kaha ( yeh to ) jaddogar aur jhoota hai.
फ़िरऔन और हामान और क़ारून की ओर भेजा था, किन्तु उन्होंने कहा, "यह तो जादूगर है, बड़ा झूठा!"
And when he brought them the truth from Us, they said, "Kill the sons of those who have believed with him and keep their women alive." But the plan of the disbelievers is not except in error.
Pus jab unn kay pass ( musa alh-e-salam ) humari taraf say ( deen ) haq ko ley ker aaye to unhon ney kaha kay iss kay sath jo eman walay hain unn kay larkon ko to maar dalo aur inn ki larkiyon ko zindah rakho aur kafiron ki jo heela saazi hai woh ghalati mein hi hai.
फिर जब वह उन के सामने हमारे पास से सत्य लेकर आया तो उन्होंने कहा, "जो लोग ईमान लेकर उस के साथ है, उन के बेटों को मार डालो और उन की स्त्रियों को जीवित छोड़ दो।" किन्तु इनकार करने वालों की चाल तो भटकने ही के लिए होती है
And Pharaoh said, "Let me kill Moses and let him call upon his Lord. Indeed, I fear that he will change your religion or that he will cause corruption in the land."
Aur firaon ney kaha mujhay choro kay mein musa ( alh-e-salam ) ko maar dalon aur issay chahyey kay apnay rab ko pukaray mujhay to darr hai kay yeh kahen tumhara deen na badal dalay ya mulk mein koi ( boht bara ) fasad barpa na ker day.
फ़िरऔन ने कहा, "मुझे छोड़ो, मैं मूसा को मार डालूँ और उसे चाहिए कि वह अपने रब को (अपनी सहायता के लिए) पुकारे। मुझे डर है कि ऐसा न हो कि वह तुम्हारे धर्म को बदल डाले या यह कि वह देश में बिगाड़ पैदा करे।"
But Moses said, "Indeed, I have sought refuge in my Lord and your Lord from every arrogant one who does not believe in the Day of Account."
Musa ( alh-e-salam ) ney kaha mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun her uss takabbur kerney walay shaks ( ki buraee ) say jo roz-e-hisab per eman nahi rakhta.
मूसा ने कहा, "मैंने हर अहंकारी के मुक़ाबले में, जो हिसाब के दिन पर ईमान नहीं रखता, अपने रब और तुम्हारे रब की शरण ले ली है।"