And ask them about the town that was by the sea - when they transgressed in [the matter of] the sabbath - when their fish came to them openly on their sabbath day, and the day they had no sabbath they did not come to them. Thus did We give them trial because they were defiantly disobedient.
Aur aap inn logon say uss basti walon ka jo kay darya-e ( -shor ) kay qarib aabad thay uss waqt ka haal poochiye! Jabkay woh haftay kay baray mein hadd say nikal rahey thay jabkay unn kay haftay kay roz to unn ki machliyan zahir ho ho ker unn kay samney aati thin aur jab haftay ka din na hota to unn kay samney na aati thin hum unn ki iss tarah per aazmaeesh kertay thay iss sabab say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.
और आप उनसे उस बस्ती का हाल पूछिए जो दरिया के किनारे थी, जब वे सब्त (सनीचर) के बारे में हद से निकल जाते थे कि जब उनके सनीचर के दिन उनकी मछलियाँ पानी के ऊपर आतीं और जिस दिन सनीचर न होता तो न आतीं, इस तरह हमने उनकी आज़माइश की इसलिए कि वे नाफ़रमानी कर रहे थे।
And when a community among them said, "Why do you advise [or warn] a people whom Allah is [about] to destroy or to punish with a severe punishment?" they [the advisors] said, "To be absolved before your Lord and perhaps they may fear Him."
Aur jab kay unn mein say aik jamat ney yun kaha kay tum aisay logon ko kiyon naseehat kertay ho jin ko Allah bilkul halak kerney wala hai ya unn ko sakht saza denay wala hai? Unhon ney jawab diya kay tumharay rab kay roo baroo uzur kerney kay liye aur iss liye kay shayad yeh darr jayen.
और जब उनमें से एक गिरोह ने कहा कि तुम ऐसे लोगों को क्यों नसीहत करते हो जिन्हें अल्लाह हलाक करने वाला है या उनको सख़्त अज़ाब देने वाला है, उन्होंने कहाः तुम्हारे रब के सामने इल्ज़ाम उतारने के लिए और इसलिए कि शायद वे डरें।
And when they forgot that by which they had been reminded, We saved those who had forbidden evil and seized those who wronged, with a wretched punishment, because they were defiantly disobeying.
So jab woh iss ko bhool gaye jo inn ko samjhaya jata tha to hum ney unn logon ko to bacha liya jo iss buri aadat say mana kiya kertay thay aur unn logon ko jo kay ziyadti kertay thay aik sakht azab mein pakar liya iss waja say kay woh bey hukmi kiya kertay thay.
फिर जब ये लोग वह बात भुला बैठे जिसकी उन्हें नसीहत की गई थी तो बुराई से रोकने वालों को तो हमने बचा लिया और जिन्होंने ज़्यादती की थी उनकी मुसलसल नाफ़रमानी की वजह से हमने उन्हें एक सख़्त अज़ाब में पकड़ लिया।
So when they were insolent about that which they had been forbidden, We said to them, "Be apes, despised."
Yani jab woh jiss kaam say unn ko mana kiya gaya tha uss mein hadd say nikal gaye to hum ney unn ko keh diya tum zaleel bandar bann jao.
फिर जब वे बढ़ने लगे उस काम में जिससे वे रोके गए थे तो हमने उनसे कहा कि ज़लील बंदर बन जाओ।