Invite to the way of your Lord with wisdom and good instruction, and argue with them in a way that is best. Indeed, your Lord is most knowing of who has strayed from His way, and He is most knowing of who is [rightly] guided.
Apney rab ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat kay sath bulaiye aur unn say behtareen teriqay say guftugoo kijiye yaqeenan aap ka rab apni raah say behakney walon ko bhi bakhoobi janta hai aur woh raah yafta logon say bhi poora waqif hai.
अपने रब के रास्ते की तरफ़ हिकमत और अच्छी नसीहत के साथ बुलाइए और उनसे अच्छे तरीक़े से बहस कीजिए, बेशक आपका रब ख़ूब जानता है कि कौन उसकी राह से भटका हुआ है और वह उनको भी ख़ूब जानता है जो राह पर चलने वाले हैं।
And if you punish [an enemy, O believers], punish with an equivalent of that with which you were harmed. But if you are patient - it is better for those who are patient.
Aur agar badla lo bhi to bilkul utna hi jitna sadma tumhen phonchaya gaya ho aur agar sabar kerlo to be-shak sabiron kay liye yehi behtar hai.
और अगर तुम बदला लो तो उतना ही बदला लो जितना तुम्हारे साथ किया गया है, और अगर तुम सब्र करो तो वह सब्र करने वालों के लिए बहुत बेहतर है।
And be patient, [O Muhammad], and your patience is not but through Allah . And do not grieve over them and do not be in distress over what they conspire.
Aap sabar keren baghair tofiq-e-elahi kay aap sabar ker hi nahi saktay aur inn kay haal per ranjeeda na hon aur jo makar-o-faraib yeh kertay rahey hain unn say tang dil na hon.
और सब्र कीजिए, और आपका सब्र करना अल्लाह ही की तौफ़ीक़ से है, और आप उन पर ग़म न करें और जो कुछ तदबीरें वे कर रहे हैं उससे तंगदिल न हों।
Indeed, Allah is with those who fear Him and those who are doers of good.
Yaqeen mano kay Allah Taalaa perhezgaron aur nek kaaron kay sath hai.
बेशक अल्लाह उन लोगों के साथ है जो परहेज़गार हैं और जो नेकी करने वाले हैं।