How wretched is that for which they sold themselves - that they would disbelieve in what Allah has revealed through [their] outrage that Allah would send down His favor upon whom He wills from among His servants. So they returned having [earned] wrath upon wrath. And for the disbelievers is a humiliating punishment.
Boht buri hai woh cheez jiss kay badlay enhon ney apney aap ko baich dala woh inn kay kufur kerna hai. Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda cheez kay sath mehaz iss baat say jal ker kay Allah Taalaa ney apna fazal apney jiss banday per chaha nazil farmaya iss kay baees ye log ghazab per ghazab kay mustahiq hogaye aur inn kafiron kay liye ruswa kerney wala azab hai.
कैसी बुरी है वह चीज़ जिसके बदले उन्होंने अपनी जानों का सौदा किया कि वे इनकार कर रहे हैं अल्लाह के उतारे हुए कलाम का इस ज़िद की बिना पर कि अल्लाह अपने फ़ज़्ल से अपने बन्दों में से जिस पर चाहे उतारे; पस वो ग़ुस्से पर ग़ुस्सा कमा कर लाए, और इनकार करने वालों के लिए ज़िल्लत का अज़ाब है।
And whoever disobeys Allah and His Messenger and transgresses His limits - He will put him into the Fire to abide eternally therein, and he will have a humiliating punishment.
Aur jo shaks Allah Taalaa aur uss kay rasool ( PBUH ) ki na farmani keray aur uss ki muqarrara haddon say aagay niklay ussay woh jahannum mein daal dey ga jiss mein woh hamesha rahey ga aison hi kay liye ruswa kun azab hai.
और जो शख़्स अल्लाह और उसके रसूल की नाफ़रमानी करेगा और उसके मुक़र्रर किए हुए ज़ाब्तों से बाहर निकल जाएगा, वह उसको आग में दाख़िल करेगा जिसमें वह हमेशा रहेगा, और उसके लिए ज़िल्लत वाला अज़ाब है।
And they who disbelieved and denied Our signs - for those there will be a humiliating punishment.
Aur jin logon ney kufur kiya aur humari aayaton ko jhutlaya unn kay liye zaleel kerney walay azab hain.
और जिन लोगों ने इनकार किया और हमारी आयतों को झुठलाया, उन के लिए अपमानजनक यातना है
Indeed, those who oppose Allah and His Messenger are abased as those before them were abased. And We have certainly sent down verses of clear evidence. And for the disbelievers is a humiliating punishment.
Be-shak jo log Allah aur uss kay rasool ki mukhalifat kertay hain woh zaleel kiye jayen gay jaisay unn say pehlay kay log zaleel kiye gaye thay aur be-shak hum wazeh aayaten utaar chuken hain aur kafiron kay liye to zillat wala azab hai.
जो लोग अल्लाह और उस के रसूल का विरोध करते हैं, वे अपमानित और तिरस्कृत होकर रहेंगे, जैसे उन से पहले के लोग अपमानित और तिरस्कृत हो चुके हैं। हम ने स्पष्ट आयतें अवतरित कर दी हैं और इनकार करने वालों के लिए अपमानजनक यातना है
They took their [false] oaths as a cover, so they averted [people] from the way of Allah , and for them is a humiliating punishment.
Inn logon ney to apni qasmon ko dhaal bana rakha hai aur logon ko Allah ki raah say roktay hain inn kay liye ruswa kerney wala azab hai.
उन्होंने अपनी क़समों को ढाल बना रखा है। अतः वे अल्लाह के मार्ग से (लोगों को) रोकते हैं। तो उन के लिए रुसवा करने वाली यातना है