But among them is he who says, "Our Lord, give us in this world [that which is] good and in the Hereafter [that which is] good and protect us from the punishment of the Fire."
Aur baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein neki dey aur aakhirat mein bhi bhalaee ata farma aur humen azab-e-jahannum say nujat dey.
और उनमें से कुछ वे भी हैं जो कहते हैं कि ऐ हमारे (प्यारे) रब! हमको दुनिया में (भी) भलाई दीजिए और आख़िरत में भी भलाई दीजिए और हमें आग के अज़ाब से बचाइए।
Indeed, Allah does not do injustice, [even] as much as an atom's weight; while if there is a good deed, He multiplies it and gives from Himself a great reward.
Be-shak Allah Taalaa aik zarra barabar zulm nahi kerta aur agar neki ho to ussay doogni ker deta hai aur khaas apney pass say boht bara sawab deta hai.
बेशक अल्लाह किसी पर ज़र्रा बराबर भी ज़ुल्म नहीं करेगा, अगर नेकी हो तो वह उसको दोगुना बढ़ा देता है और अपने पास से बहुत बड़ा सवाब देता है।
Whoever intercedes for a good cause will have a reward therefrom; and whoever intercedes for an evil cause will have a burden therefrom. And ever is Allah , over all things, a Keeper.
Jo shaks kissi neki ya bhalay kaam ki sifarish keray ussay bhi uss ka kuch hissa milay ga aur jo buraee aur badi ki sifarish keray uss kay liye uss mein say aik hissa hai aur Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhney wala hai.
जो शख़्स (किसी के हक़ में) अच्छी सिफ़ारिश करेगा उसके लिए उस में से हिस्सा है, और जो शख़्स बुरी सिफ़ारिश करेगा उसके लिए उसमें से हिस्सा है, और अल्लाह हर चीज़ पर क़ुदरत रखने वाला है।
It is that of which Allah gives good tidings to His servants who believe and do righteous deeds. Say, [O Muhammad], "I do not ask you for this message any payment [but] only good will through kinship." And whoever commits a good deed - We will increase for him good therein. Indeed, Allah is Forgiving and Appreciative.
Yehi woh hai jiss ki bisharat Allah Taalaa apney bandon ko dey raha hai jo eman laye aur ( sunnat kay mutabiq ) nek aemaal kiyey to keh dijiyey! Kay mein iss per tum say koi badla nahi chahata magar mohabbat rishtaydaari ki jo shaks koi neki keray hum uss kay liye uss ki neki mein aur neki barha den gay be-shak Allah Taalaa boht bakhshney wala ( aur ) boht qadardaan hai.
उसी की शुभ सूचना अल्लाह अपने बन्दों को देता है जो ईमान लाए और उन्होंने अच्छे कर्म किए। कहो, "मैं इसका तुम से कोई पारिश्रमिक नहीं माँगता, बस निकटता का प्रेम-भाव चाहता हूँ, जो कोई नेकी कमाएगा हम उस के लिए उस में अच्छाई की अभिवृद्धि करेंगे। निश्चय ही अल्लाह अत्यन्त क्षमाशील, गुणग्राहक है।"