Or do you think that you will enter Paradise while Allah has not yet made evident those of you who fight in His cause and made evident those who are steadfast?
Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum jannat mein chalay jao gay halankay abb tak Allah Taalaa ney yeh zahir nahi kiya kay tum mein say jihad kerney walay kaun hain aur sabar kerney walay kaun hain?
क्या तुम यह ख़्याल करते हो कि तुम जन्नत में दाख़िल हो जाओगे; हालाँकि अभी अल्लाह ने तुम में से उन लोगों को जाना नहीं जिन्होंने जिहाद किया और न उनको जो साबित-क़दम रहने वाले हैं।
Do you think that you will be left [as you are] while Allah has not yet made evident those among you who strive [for His cause] and do not take other than Allah , His Messenger and the believers as intimates? And Allah is Acquainted with what you do.
Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye jao gay halankay kay abb tak Allah ney tum mein unhen mumtaz nahi kiya jo mujahid hain aur jinhon ney Allah kay aur uss kay rasool kay aur mominon kay siwa kissi ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar hai jo tum ker rahey ho.
क्या तुम्हारा यह गुमान है कि तुम छोड़ दिए जाओगे हालाँकि अभी अल्लाह ने तुम में से उन लोगों को देखा ही नहीं जिन्होंने जिहाद किया और जिन्होंने अल्लाह और रसूल और मोमिनीन के सिवा किसी को दोस्त नहीं बनाया, और अल्लाह जानता है जो कुछ तुम करते हो।
But the Messenger and those who believed with him fought with their wealth and their lives. Those will have [all that is] good, and it is those who are the successful.
Lekin khud rasool Allah ( PBUH ) aur iss kay sath kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi hasil kerney walay hain.
लेकिन रसूल और जो लोग उसके साथ ईमान लाए हैं उन्होंने अपने माल और जान से जिहाद किया, और उन्हीं के लिए हैं ख़ूबियाँ और वही फ़लाह पाने वाले हैं।
Then, indeed your Lord, to those who emigrated after they had been compelled [to renounce their religion] and thereafter fought [for the cause of Allah ] and were patient - indeed, your Lord, after that, is Forgiving and Merciful
Jin logon ney fitnon mein dalay janey kay baad hijrat ki phir jihad kiya aur sabar ka saboot diya be-shak tera perwerdigar inn baton kay baad unhen bakhshney wala aur meharbaniyan kerney wala hai.
फिर आपका रब उन लोगों के लिए जिन्होंने आज़माइश में डाले जाने के बाद हिजरत की फिर जिहाद किया और क़ायम रहे तो इन बातों के बाद बेशक आपका रब बख़्शने वाला, मेहरबान है।