But those who feared their Lord will have gardens beneath which rivers flow, abiding eternally therein, as accommodation from Allah . And that which is with Allah is best for the righteous.
Lekin jo log apney rab say dartay rahey unn kay liye jannaten hain jin kay neechay nehren jari hain inn mein woh hamesha rahen gay yeh mehmani hai Allah ki taraf say aur nek kaaron kay liye jo kuch Allah Taalaa kay pass hai woh boht hi behtar hai.
अलबत्ता जो लोग अपने रब से डरते हैं उनके लिए ऐसे बाग़ात होंगे जिनके नीचे से नहरें बहती होंगी, वे उसमें हमेशा रहेंगे, यह अल्लाह की तरफ़ से मेज़बानी होगी, और जो कुछ अल्लाह के पास है नेक लोगों के लिए वही सबसे बेहतर है।
But those firm in knowledge among them and the believers believe in what has been revealed to you, [O Muhammad], and what was revealed before you. And the establishers of prayer [especially] and the givers of zakah and the believers in Allah and the Last Day - those We will give a great reward.
Lekin inn mein say kaamil aur mazboot ilm walay hain aur eman walay hain jo uss per eman latay hain jo aap ki taraf utara gaya hai aur jo aap say pehlay utara gaya aur namzon ko qaeem rakhney walay hain aur zakat kay ada kerney walay hain aur Allah per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hain yeh hain jinhen hum boht baray ajar ata farmayen gay.
मगर उनमें जो लोग इल्म में पक्के हैं और ईमान वाले हैं वे ईमान लाए हैं उस चीज़ पर जो आप पर उतारी गई और जो आपसे पहले उतारी गई और वे नमाज़ के पाबंद हैं और ज़कात अदा करने वाले हैं और अल्लाह पर और क़यामत के दिन पर ईमान रखने वाले हैं, ऐसे लोगों को हम ज़रूर बड़ा अज्र देंगे।
But Allah bears witness to that which He has revealed to you. He has sent it down with His knowledge, and the angels bear witness [as well]. And sufficient is Allah as Witness.
Jo kuch aap ki taraf utara hai uss ki babat khud Allah Taalaa gawahi deta hai kay issay apney ilm say utara hai aur farishtay bhi gawahi detay hain aur Allah Taalaa bator gawah kafi hai.
मगर अल्लाह गवाह है उस पर जो उसने आप पर उतारा है कि उसने उसे अपने इल्म के साथ उतारा है, और फ़रिश्ते भी गवाही देते हैं, और अल्लाह गवाही के लिए काफ़ी है।
But the Messenger and those who believed with him fought with their wealth and their lives. Those will have [all that is] good, and it is those who are the successful.
Lekin khud rasool Allah ( PBUH ) aur iss kay sath kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi hasil kerney walay hain.
लेकिन रसूल और जो लोग उसके साथ ईमान लाए हैं उन्होंने अपने माल और जान से जिहाद किया, और उन्हीं के लिए हैं ख़ूबियाँ और वही फ़लाह पाने वाले हैं।
How [clearly] they will hear and see the Day they come to Us, but the wrongdoers today are in clear error.
Kiya khoob dekhney sunnay walay hongay uss din jabkay humaray samney hazir hongay lekin aaj to yeh zalim log sareeh gumrahi mein paray huye hain.
भली-भाँति सुनने वाले और भली-भाँति देखने वाले होंगे, जिस दिन वे हमारे सामने आएँगे! किन्तु आज ये ज़ालिम खुली गुमराही में पड़े हुए हैं
But those who have feared their Lord - for them are chambers, above them chambers built high, beneath which rivers flow. [This is] the promise of Allah . Allah does not fail in [His] promise.
Haan woh log jo apnay rab say dartay rahey unn kay liye bala khaney hain jinkay uper bhi banay banaye bala khaney hain ( aur ) unn kay neechay nehren beh rahi hain. Rab ka wada hai aur woh wada khilafi nahi kerta.
अलबत्ता जो लोग अपने रब से डरकर रहे उन के लिए ऊपरी मंज़िल पर कक्ष होंगे, जिन के ऊपर भी निर्मित कक्ष होंगे। उन के नीचे नहरें बह रही होगी। यह अल्लाह का वादा है। अल्लाह अपने वादे का उल्लंघन नहीं करता