So who is more unjust than he who invents a lie about Allah or denies His signs? Indeed, the criminals will not succeed
So uss shaks say ziyada kaun zalim hoga jo Allah per jhoot bandhay ya uss ki aayaton ko jhoota batlaye yaqeenan aisay mujrimon ko aslan falah na hogi.
इससे बढ़कर ज़ालिम और कौन होगा जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बांधे या उसकी निशानियों को झुठलाए यक़ीनन मुजरिमों को कामयाबी हासिल नहीं होती।
And who is more unjust than he who invents a lie about Allah ? Those will be presented before their Lord, and the witnesses will say, "These are the ones who lied against their Lord." Unquestionably, the curse of Allah is upon the wrongdoers.
Uss say barh ker zalim kaun hoga jo Allah per jhoot banadhay aur yeh log apney perwerdigar kay samney paish kiye jayen gay aur saray gawan kahen gay kay yeh woh log hain jinhon ney apney perwerdigar per jhoot bandha khabaradar ho kay Allah ki laanat hai zalimon per.
और उससे बढ़कर ज़ालिम कौन है जो अल्लाह पर झूठ घड़े, ऐसे लोग अपने रब के सामने पेश होंगे और गवाही देने वाले कहेंगे कि ये वे लोग हैं जिन्होंने अपने रब पर झूठ घड़ा था, सुन लो! अल्लाह की लानत है ज़ालिमों के ऊपर।
He only orders you to evil and immorality and to say about Allah what you do not know.
Woh tumhen sirf buraee aur bey hayaee ka aur Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka hukum deta hai jin ka tumhen ilm nahi.
वह तुमको सिर्फ़ बुरे काम और बेहयाई की तलक़ीन करता है और इस बात की कि तुम अल्लाह की तरफ़ वे बातें मंसूब करो जिनके बारे में तुमको कोई इल्म नहीं।
And indeed, there is among them a party who alter the Scripture with their tongues so you may think it is from the Scripture, but it is not from the Scripture. And they say, "This is from Allah ," but it is not from Allah . And they speak untruth about Allah while they know.
Yaqeenan inn mein aisa giroh bhi hai jo kitab parhtay huye apni zaban marorta hai takay tum ussay kitab hi ki ibarat khayal kero halankay kay dar-asal woh kitab mein say nahi aur yeh kehtay bhi hain kay woh Allah Taalaa ki taraf say hai halankay woh dar-asal Allah Taalaa ki taraf say nahi woh to daanista Allah Taalaa ki taraf jhoot boltay hain.
और उनमें कुछ लोग ऐसे भी हैं जो अपनी ज़बानों को किताब पढ़ते वक़्त मोड़ते हैं ताकि तुम उसको किताब में से समझो; हालाँकि वह किताब में से नहीं, और वे कहते हैं कि यह भी अल्लाह की जानिब से है; हालाँकि वह अल्लाह की जानिब से नहीं, और वे जान-बूझ कर अल्लाह पर झूठ बोलते हैं।
And do not give the weak-minded your property, which Allah has made a means of sustenance for you, but provide for them with it and clothe them and speak to them words of appropriate kindness.
Bey aqal logon ko apna maal na dey do jiss maal ko Allah Taalaa ney tumhari guzraan kay qaeem rakhney ka zariya banaya hai haan unhen iss maal say khilao pilao pehnao orahao aur unhen maqooliyat say naram baat kaho.
और नादानों को अपना वह माल न दो जिसको अल्लाह ने तुम्हारे लिए क़याम का ज़रिया बनाया है, और उस माल में से उनको खिलाओ और पहनाओ और उनसे भलाई की बात कहो।
And who is more unjust than one who invents about Allah a lie or denies His verses? Indeed, the wrongdoers will not succeed.
Aur uss say ziyada bey insaf kaun hoga jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya Allah ki aayaat ko jhoota batlaye aisay bey insafon ko kaamyabi na hogi.
और उस शख़्स से ज़्यादा ज़ालिम कौन होगा जो अल्लाह पर झूठा बोहतान बाँधे या अल्लाह की निशानियों को झुठलाए, यक़ीनन ज़ालिमों को कामयाबी नहीं मिलती।
Say, "My Lord has only forbidden immoralities - what is apparent of them and what is concealed - and sin, and oppression without right, and that you associate with Allah that for which He has not sent down authority, and that you say about Allah that which you do not know."
Aap farmaiye kay albatta meray rab ney sirf haram kiya hai inn tamam fahash baaton ko jo ailaaniya hain aur jo posheeda hain aur her gunah ki baat ko aur na haq kissi per zulm kerney ko aur iss baat ko kay tum Allah kay sath kissi aisi cheez ko shareek thehrao jiss ki Allah ney koi sanad nazil nahi ki aur iss baat ko kay tum log Allah kay zimmay aisi baat laga do jiss ko tum jantay nahi.
कह दीजिए कि मेरे रब ने तो बस फ़हश बातों को हराम ठहराया है वे खुली हों या छुपी और गुनाह को और नाहक़ की ज़्यादती को और इस बात को कि तुम अल्लाह के साथ किसी को शरीक करो जिसकी उसने कोई दलील नहीं उतारी और यह कि तुम अल्लाह के ज़िम्मे ऐसी बात लगाओ जिसका तुम इल्म नहीं रखते।