And indeed, your Lord knows what their breasts conceal and what they declare.
Be-shak aap ka rab unn cheezon ko bhi janta hai jinhen unn kay seenay chupa rahey hain aur jinhen zahir ker rahey hain.
निश्चय ही तुम्हारा रब भली-भाँति जानता है, जो कुछ उन के सीने छिपाए हुए हैं और जो कुछ वे प्रकट करते हैं।
And there is nothing concealed within the heaven and the earth except that it is in a clear Register.
Aasman-o-zamin ki koi posheeda cheez bhi aisi nahi jo roshan aur khulli kitab mein na ho.
आकाश और धरती में छिपी कोई भी चीज़ ऐसी नहीं जो एक स्पष्ट किताब में मौजूद न हो
Indeed, this Qur'an relates to the Children of Israel most of that over which they disagree.
Yaqeena yeh quran bani israeel kay samney unn aksar cheezon ka biyan ker raha hai jin mein yeh ikhtilaf kertay hain.
निस्संदेह यह क़ुरआन इसराईल की सन्तान को अधिकतर ऐसी बाते खोलकर सुनाता है जिन के विषय में उन से मतभेद है
And indeed, it is guidance and mercy for the believers.
Aur yeh quran eman walon kay liye yaqeenan hidayat aur rehmat hai.
और निस्संदह यह तो ईमान वालों के लिए मार्गदर्शन और दयालुता है
Indeed, your Lord will judge between them by His [wise] judgement. And He is the Exalted in Might, the Knowing.
Aap ka rab unn kay darmiyan apnay hukum say sab faislay ker dey ga woh bara hi ghalib aur dana hai.
निश्चय ही तुम्हारा रब उन के बीच अपने हुक्म से फ़ैसला कर देगा। वह अत्यन्त प्रभुत्वशाली, सर्वज्ञ है
Indeed, those who fear their Lord unseen will have forgiveness and great reward.
Be-shak jo log apnay perwerdigaar say ghaeebana tor per dartay rehtay hain unkay liye bakhhsish hai aur bara sawab hai.
जो लोग परोक्ष में रहते हुए अपने रब से डरते हैं, उन के लिए क्षमा और बड़ा बदला है
And conceal your speech or publicize it; indeed, He is Knowing of that within the breasts.
Tum apni baton ko chupao ya zahir kero woh to seenon ki posheedgiyon ko bhi bakhoobi jaanta hai.
तुम अपनी बात छिपाओ या उसे व्यक्त करो, वह तो सीनों में छिपी बातों तक को जानता है
Does He who created not know, while He is the Subtle, the Acquainted?
Kiya wohi na janay jiss nay peda kiya? phir woh bareek been aur bakhabar bhi ho.
क्या वह नहीं जानेगा जिस ने पैदा किया? वह सूक्ष्मदर्शी, ख़बर रखने वाला है