These are the verses of the clear Book.
Yeh aayaten hain roshan kitab ki
(जो आयतें अवतरित हो रही हैं) वे स्पष्ट किताब की आयतें हैं
We recite to you from the news of Moses and Pharaoh in truth for a people who believe.
Hum aap kay samney musa aur firaon ka sahih waqiya biyan kertay hain unn logon kay liye jo eman rakhtay hain.
हम उन्हें मूसा और फ़िरऔन का कुछ वृत्तान्त ठीक-ठीक सुनाते हैं, उन लोगों के लिए जो ईमान लाना चाहें
Indeed, Pharaoh exalted himself in the land and made its people into factions, oppressing a sector among them, slaughtering their [newborn] sons and keeping their females alive. Indeed, he was of the corrupters.
Yaqeenan firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein say.
निस्संदेह फ़िरऔन ने धरती में सरकशी की और उस के निवासियों को विभिन्न गिरोहों में विभक्त कर दिया। उन में से एक गिरोह को कमज़ोर कर रखा था। वह उन के बेटों की हत्या करता और उन की स्त्रियों को जीवित रहने देता। निश्चय ही वह बिगाड़ पैदा करने वालों में से था
And We wanted to confer favor upon those who were oppressed in the land and make them leaders and make them inheritors
Phir humari chahat hui kay hum unn per karam farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya tha aur hum unhin ko paishwa aur ( zamin ) ka waris banayen.
और हम यह चाहते थे कि उन लोगों पर उपकार करें, जो धरती में कमज़ोर पड़े थे और उन्हें नायक बनाएँ और उन्हीं को वारिस बनाएँ
And establish them in the land and show Pharaoh and [his minister] Haman and their soldiers through them that which they had feared.
Aur yeh bhi kay hum unhen zamin mein qudrat-o-ikhtiyar den aur firaon aur haamaan aur unn kay lashkeron ko woh dikhayen jiss say woh darr rahey hain.
और धरती में उन्हें सत्ताधिकार प्रदान करें और उन की ओर से फ़िरऔन और हामान और उन की सेनाओं को वह कुछ दिखाएँ, जिस की उन्हें आशंका थी