And to Madyan [We sent] their brother Shu'ayb, and he said, "O my people, worship Allah and expect the Last Day and do not commit abuse on the earth, spreading corruption."
Aur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib ( alh-e-salam ) ko bheja unhon ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero qayamat kay din ki tawaqqa rakho aur zamin mein fasad na kertay phiro.
और मदयन की ओर उन के भाई शुऐब को भेजा। उस ने कहा, "ऐ मेरी क़ौम के लोगो, अल्लाह की बन्दगी करो। और अंतिम दिन की आशा रखो और धरती में बिगाड़ फैलाते मत फिरो।"
But they denied him, so the earthquake seized them, and they became within their home [corpses] fallen prone.
Phir bhi unhon ney unhen jhutlaya aakhirish unhen zalzalay ney pakar liya aur woh apnay gharon mein bethay kay bethay murda ho ker reh gaye.
किन्तु उन्होंने उसे झुठला दिया। अन्ततः भूकम्प ने उन्हें आ लिया। और वे अपने घरों में औंधे पड़े रह गए
And [We destroyed] 'Aad and Thamud, and it has become clear to you from their [ruined] dwellings. And Satan had made pleasing to them their deeds and averted them from the path, and they were endowed with perception.
Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon walay aur hoshiyaar thay.
और आद और समूद को भी हम ने विनष्ट किया। और उन के घरों और बस्तियों के अवशेषों से तुम पर स्पष्ट हो चुका है। शैतान ने उन के कर्मों को उन के लिए सुहाना बना दिया और उन्हें संमार्ग से रोक दिया। यद्यपि वे बड़े तीक्ष्ण स्पष्ट वाले थे
And [We destroyed] Qarun and Pharaoh and Haman. And Moses had already come to them with clear evidences, and they were arrogant in the land, but they were not outrunners [of Our punishment].
Aur qaroon aur firaon aur haamaan ko bhi unn kay pass hazrat musa ( alh-e-salam ) khulay khulay moajzzay ley ker aaye thay phir bhi unhon ney zamin mein takabbur kiya lekin hum say aagay barhney walay na ho sakay.
और क़ारून और फ़िरऔन और हामान को हम ने विनष्ट किया। मूसा उन के पास खुली निशानियाँ लेकर आया। किन्तु उन्होंने धरती में घमंड किया, हालाँकि वे हम से निकल जाने वाले न थे
So each We seized for his sin; and among them were those upon whom We sent a storm of stones, and among them were those who were seized by the blast [from the sky], and among them were those whom We caused the earth to swallow, and among them were those whom We drowned. And Allah would not have wronged them, but it was they who were wronging themselves.
Phir to her aik ko hum ney uss kay gunah ka wabaal mein giriftar ker liya inn mein say baaz per hum ney pathron ka menh barsaya aur inn mein say baaz ko zor daar awaz sakht awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum ney dobo diya Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay.
अन्ततः हम ने हरेक को उस के अपने गुनाह के कारण पकड़ लिया। फिर उन में से कुछ पर तो हम ने पथराव करने वाली वायु भेजी और उन में से कुछ को एक प्रचंड चीत्कार ने आ लिया। और उन में से कुछ को हम ने धरती में धँसा दिया। और उन में से कुछ को हम ने डूबो दिया। अल्लाह तो ऐसा न था कि उन पर ज़ुल्म करता, किन्तु वे स्वयं अपने आप पर ज़ुल्म कर रहे थे